(Insaaf dilayega tu?) - Insaaf nahi, saaf karne aaya hoon
Salman Khan
Sudhar ja nahi toh guzar jayega
Himesh Reshammiya
(Yeh tum har baat pe dialogue kyun maarte ho?) - Kyun ki har superhit action se pehle ... superhit dialogue zaroori hota hai
Ravikumar aadmi nahi aandhi hai ... teri sultanat udda ke rakh dega
(Jaanta nahi kiske samne khada hai?) - Bhagwan tum ho nahi sakte ... insaan tum lagte nahi ... aur shaitaan se main nahi darta
Ae Munna, jab tumne tamancha chhua bhi nahi tha ... tab se hum top se apna cigarette sulgaya karte the
Ranjeet
Humko us position se koi problem nahi hai ... humko us aadmi se problem hai joh is waqt us position par behta hai
Unknown
Supari ka paisa kha jaane wale ko ... Shiva supari ki tarah kha jaata hai
Anil Kapoor
Arre hum toh woh shikaari hai ... joh hawaon se shikaar ka pata pooch lete hai
Gulshan Grover
Meri aankhon ko gaur se dekh ... in mein tujhe teri chitta ki jalti hui aag dikhai degi ... tujhe teri astiyon ki raakh dikhai degi ... teri zindagi ko maine jis khaak mein mila diya tujhe woh khaak dikhai degi
Raza Murad
Joh hamara taraf aankh uthayega, hum uska aankh phod dalega ... joh saala awaaz uthayega, hum uska zubaan kaat dalega ... aur joh sar uthayega, uska sar todh dega
Sharat Saxena
Doobara is basti mein Baba Bhatti jab aayega toh zulm ki woh haddi bankar aayega ... joh tumhare gale mein aaise phasegi ... ki na tum usse nighal sakoge, na tum usse ughal sakoge
Danny Denzongpa
Abhe bewakoofi ke laltern se nikalne waale andhere
Kader Khan
Aayenda kabhi aaisi harkat ki ... toh bina khaal ke gadhe ki tarah saare sansar mein ghoomte hue nazar aaoge
Amitabh Bachchan
Main usko aaisa dasna chahti hoon ki woh pal pal marne ke liye tadapta rahe ... aur tadap tadapkar jeeta rahe
Jab bhi hamare samne koi bewakoof akalmandi ka taj pehenne ki jurrat karta hai ... toh taj toh uske haathon mein hota hai magar pehenne ke liye uska sar nahi hota
Rekha
Jis tarah yamraj ko sirf yamlok hi dekh sakta hai ... ussi tarah Madam X ki shakal bhi sirf uska apna samraj hi dekh sakta hai ... joh bhi hamari jhalak dekhne ki jurrat karta hai ... woh jalkar aaise dhuan ho jaata hai ki na zameen ko uski khaak milti hai, na hawaon ko uski raakh
Joh meri asliyat pehchaane ki koshish karega ... main uski asliyat puri bighaad doonga
Mangal ka rasta joh rokta hai ... Mangal uske liye maut ka darwaza khol deta hai
Mithun Chakraborty
Naam hai mera Hatela Hitler ... meri makkari ke samne Hitler bhi ban jaata hai butler
Sadashiv Amrapurkar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory