Aadmi jab tak zindagi mein kuch ho na jaye ... uske apne bhi paraye ho jaate hai
Kishore Kumar
Zindagi ki khushi duniya ko pa lene mein nahi ... apne aap ko kho dene mein hai
Simi Garewal
Zindagi par jitna shak karoge ... zindagi tumhe utna hi tang karegi
Boman Irani
Ladki zindagi mein sirf do baar ghar chhodkar jaati hai ... ek baar jab apne maa baap ke ghar se uski doli jaati hai ... doosri baar apne pati ke ghar uski arthi uthti hai
Waheeda Rehman
Deewane aashiq zindagi ka saath chhodte hai ... lekin haath nahi chhodte
Salman Khan
Bhudhape mein jism bekaar ho jaate hai ... lekin tune toh apni zindagi hi bekaar kar di
Amrish Puri
Hum honge, lights hogi, ek huge audience hogi ... aur hogi music jiske har beat mein, har note mein zindagi hogi ... zindagi
Luke Kenny
Hamari zindagi hamare powers doosron ke liye hai ... hum baante hai, cheente nahi
Amitabh Bachchan
Zindagi mein agar aisa kuch chahiye joh pehle na mila ho ... toh aisa kuch karna padega joh pehle na kiya ho
Tiger Shroff
Engineering aapko kisi job ke liye train kare ya na kare ... lekin life ki tangi mein aiyaashi karna zaroor sikha deti hai
Unknown
Zindagi mein do cheez zaroori maani jaati hai ... pani aur sona ... pani ke bagair aadmi jee nahi sakta ... sona na khane ka kaam aata hai, na peene ka, na nahane ka, na dhone ka ... lekin phir bhi bhaav sone ka hai, pani ka nahi
Abhishek Bachchan
Yeh zindagi kya hai, yeh duniya kya hai ... ek bahut bada WhatsApp group hai aur jiska admin kaun hai ... uparwala ... toh khushiyon ko forward karte rahiye ... zindagi ka data unlimited rahega
Jis tarah khel mein ball ko pass kiya jaata hai ... kabhi kabhi zindagi mein apne sapno ko pass karna padta hai
Kunal Kapoor
Agar zindagi mein kuch karna hai na toh kar lena ... sahi samay ka intezar mat karna ... kyun ki kahi baar woh sahi samay aata hi nahi hai
Ashish Vidyarthi
Sapno ki duniya mein safalta pana aasaan hai ... par asli zindagi mein mushkil
Dina Pathak
Jurm ki zindagi ek aaisa dhagaa hai ... jis mein agar ek baar aadmi uljha toh bas ulajhta hi jaata hai
Abhinav Chaturvedi
Kamyab insaan wahi hota hai joh zindagi ke ahem faisle dil se nahi ... dimaag se leta hai
Priyanka Chopra
Mera maanna hai ke jeevan ka udeshya hona chahiye kala sa sundar hona ... aur agar aap kala ko bandhoge toh woh sab nasht ho jayega, joh jeevan mein sundar hai ya jiska koi arth hai ... bandh ke reh jayenge hum sab
Randeep Hooda
Log jeevan mein hi khush rahe woh kaafi nahi ... marte waqt bhi khushi se marna zaroori hai
Zindagi mein agar koi bhi galati karni ho ... toh confidence se karni chahiye
Dino Morea
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory