Main zindagi mein bahut kam faisle karta hoon ... lekin ek baar faisla kar loon toh woh pahaad se bhi zyada atal hota hai
Dalip Tahil
Your first time should be with someone special ... pata hai kyun? ... (kyun) ... kyun ki tum usse kabhi nahi bhula paogi ... aur agar tumhara first time kisi idiot ke saath hoga ... toh zindagi bhar us idiot yaad rakhna padega
Uday Chopra
Zindagi football game se kam thodi hai .... problems ko tackle karo, darr ko block karo, goal ko score karo ... that's life
Gulshan Grover
Woh zindagi hi kya jis mein koi namumkin sapna na ho
Manisha Koirala
Nasha sukoon deta hai, yeh bharm hai ... nasha maut deta hai, yeh sach hai ... zindagi se pyar karo aur nashe pe vaar karo
Ashish Vidyarthi
Zindagi mein hamesha dimaag se hi kyun kaam lena padta hai ... kabhi kabhi joh dil kehta hai woh kyun nahi kar sakte?
Shahid Kapoor
Izzat aur jaan do aaisi cheezein hai ... joh ek baar chali gayi toh vapas nahi aati
Ajay Devgan
Mumbai ... suna tha aadmi yahan poori zindagi apni kismat slow track se fast track laane mein nikaal deta hai
Abhay Deol
Pyar toh zindagi hai, ek ehsaas hai ... jis mann ko chu jaata hai us mann mein bas jaata hai ... hamesha ke liye, zindagi bhar ke liye
Anil Kapoor
Zindagi aur maut aankh mein choli ka khel hai ... par Pritam Singh jab khele toh baki sab fail hai
Sanjay Dutt
Yeh zindagi ek khet ki tarah hai jahan insaan ... kisan ki tarah paap aur punya ke beejh bohta hai
Kader Khan
Ek kahani khatam ... ek nayi zindagi shuru
Salman Khan
Main marne se nahi darta ... is liye ki maut is zindagi se zyada bhayanak nahi ho sakti
Suresh Oberoi
Teri mitti jazbaat se judi hai aur meri akkal pani se ... tu jaan de sakta hai, main jaan le sakta hoon
Saif Ali Khan
Sarkari departments ne aam aadmi ki zindagi newspaper jaisi bana di hai ... subah kamot pe palatne se shuru hoti hai aur raat tak raddi banke kisi kone mein padhi milti hai
Akshay Kumar
Bachon ki mamta aurat ki zindagi hoti hai ... pati ki nafrat uski maut
Reena Roy
Life is not worth living ... till you don't have something to die for
Aditya Narayan
Shareer ke rishton se bhi alag kuch rishtey hote hai ... zindagi aur maut ke rishtey ... insaaniyat ke rishtey
Neha Dhupia
Zindagi bahut complicated hai doston ... isse simple rakho ... ek like minded partner dhoondo aur khush raho ... simple
Zayed Khan
Duniya yeh gol hai, andhar se hole hai, rupaiya ka mol hai, baki sab jhol hai ... income ho unda toh patni maare danda ... jeevan ki gaadi bhanvar mein hai, bada problem hai bhaiya ... kyun ki aamdani atthani, kharcha rupaiya
Johnny Lever
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory