Aurat ko apna maan, bhakt ko uska bhagwan, gareeb ko uski aan aur amir ko uski shaan ... bahut pyari hoti hai
Pran
Tum mere jeevan mein us rog ki tarah ho ... jis mein aadmi ghulta rehta hai, tadapta rehta hai ... na jee sakta hai, na mar sakta hai
Sanjeev Kumar
Har ek aadmi ke saath kahi log hote hai phansi ke takhte par, koi akela nahi hota phansi ke takhte par ... uske saath us phande par dum todhta hai uski biwi ka suhaag ... uske bachon ka bhavishya ... uske ghar mein basne waali ek ek khushi ... uske aagan mein utarne waali ek ek kiran ... sabko ek saath phansi ho jaati hai
Anil Kapoor
Jadh, joru aur zameen le mamle talwar ki dhaar pe hi sulte hai
Unknown
Is duniya mein do taang waala janwar sabse khatarnak janwar hai
Rajesh Khanna
Main toh woh lailaaj bimari hoon ... joh tumhari jaan jaane se hi chutegi
Tawaif aur titli mein koi farak nahi hota ... titli bhi ek phool par nahi tikti aur tawaif ek mard par
Gulshan Grover
Ek achche hospital ke liye sirf pakki imaarat aur chamakte hue furniture ki zaroorat nahi ... zaroorat hai to kaam karne waale haathon ki aur mehsoos karne waale dil ki
Manoj Kumar
Pyar mein pada aadmi aksar apni aukaat se zyada bada kaam kar jaata hai
Partners hisaab kitaab ka rishta rakhte hai, naap tol ka rishta rakhte hai ... lekin bhai ishwar ka diya hua rishta hai
Zayed Khan
Galati ek baar hoti hai, do baar hoti hai ... lekin teesri baar iraada hota hai
Amrish Puri
Hamare saath zindagi ka ek din jeena ... hazaaron saalon ki taqleefon ke barabar hota hai
Mukesh Rishi
Kaam, naam aur anjaam ... sab tay hai
Danny Denzongpa
Business karne ke liye tumhare pass sari duniya padi hai ... phir tum meri choti si duniya ko apna business kyun banana chahte ho
Aishwarya Rai
Daulat gareebi ki taraf dosti ka haath toh bada sakti hai ... magar usse gale lagate hue hich-kichati hai
Rajendra Kumar
Agar duniya mein maut se badi sachai koi nahi ... toh sach maniye aapko dhoka dekar meri zindagi bhi maut se kam nahi
Asha Parekh
Jab kuch bhi nahi tha, toh sab kuch tha kyun ki tu thi ... aaj sab kuch hai, toh kuch bhi nahi kyun ki tu chali gayi
Salman Khan
Yeh woh kamina safed posh kasai hai ... joh peshe ki aad mein laashon ka karobaar kar raha hai
Zid se sirf do hi baatein hoti hai ... aadmi ya toh banta hai ya bighad jaata hai
Suresh Oberoi
Baat jab sadak tak pahunch jaati hai ... toh ghar ke andhar jhankne ki zaroorat nahi padti
Roopesh Kumar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory