Sar par chhat ho na ho ... paon ke neeche ek zameen ka tudka toh chahiye
Divya Bharti
Badkismati toh hamari behen, bahu, betiyon ki hai ... is desh mein janam lene se pehle kok mein jaan ka khatra ... aur janam lene ke baad izzat ka ... magar aaj ke baad aaisa nahi hone waala ... kyun ki jab jab kisi aurat par zulm hoga ... tab tab har insaan banega himmatwaala
Ajay Devgan
Kahi baar hamare ussool zindagi se bade ho jaate hai
Amitabh Bachchan
Lalach ki zameen par daulat ki fasal kabhi nahi ughti
Aamir Khan
Duniya mein aisa ek aadmi batao, jisne koi bada sapna poora karne ke liye ... kuch achcha, kuch bura aur kuch bahut bura na kiya ho
Truth and justice needs no lobby, no politics
Anil Kapoor
Suraj ke aakash mein doobne se log nahi soote ... sarhado par jab hum jaagte hai, tab desh chain ki neend sota hai
Pankaj Dheer
Patni har cheez ka batwara bardaash kar sakti hai ... lekin apne pati ka nahi
Karisma Kapoor
Shaurya sirf kisi ko maar girane ko nahi kehte, shaurya sirf salaami dene ko nahi kehte ... shaurya toh hamare bahut andhar hota hai ... ek hausla, ek himmat
Amrita Rao
Jeevan mein kabhi kabhi aaisa waqt aata hai ... jab aapko apne zindagi mein sabse pyari cheez aur zimmedariyo ke beech mein chunana padta hai
Madhavan
Ache waqt ki kadhar ... burre waqt ke baad hi hoti hai
Asrani
You should never say never
Kareena Kapoor
Saali zindagi hai hi fifty fifty ... kisi ki kaali zindagi mein umeed ki safedi ... toh kisi ki safed zindagi mein samjaute ka kaala daag
Veena Malik
Joh aadmi taqat se nahi harta ... woh emotion se harta hai
Anupam Kher
Aaj ka daur mazdooron ka daur hai ... aur aaj ka mazdoor apne paon ki thokaron se bade bade badshahon ki taqdeer likhta bhi hai ... aur mitata bhi hai
Shatrughan Sinha
Khandaan, maan maryada, shaan-o-shaukat, rutba aur vakaar ... sadiyo ki mehnat aur mushakat ke pasine aur zindagi ki kash-ma-kash ke baad banta hai
Raaj Kumar
Saari duniya ka dard ... maa ki chatti se lagte hi mitt jaata hai
Arman Kohli
Zindagi ek natak hi toh hai, lekin zindagi aur natak mein farak hai ... natak ko jahan chaho, jab chaho badal do lekin ... zindagi ke natak ki dor toh upar waale ke haath mein hai
Tum bhool gaye ki ninyaanve ki sankhya par ek aaisa saanp behta hai ... jiske kaatne se khiladi itne neeche gir jaata hai ... ke phir uske pass wapas upar uthne ki koi gunjaish nahi rehti
Naukar kitna hi bada kyun na ho jaye ... uska sar ... maalik ke jooton se upar nahi uth sakta
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory