Tum ek achche khandan ki bigdi hui nasamajh aulad ho
Mukesh Khanna
Jinhe woh aazmate hai, star woh ban jaate hai ... dilon mein zamaane ki, aag woh lagate hai
Shehzad Khan
Bichhoo se zyada khatarnak hoon main ... aur saanp se zyada zehereela
Akshay Kumar
Gunaah mein hisaab kitaab nahi chalta
Seema Biswas
Aakhri twist villian ka nahi ... hamesha hero ka hota hai
Abhishek Bachchan
Daulat se bistar khareeda jah sakta hai, neend nahi ... aurat khareedi jah sakti hai, pyar nahi ... jhoot kareeda jah sakta hai, sachchai nahi
Amitabh Bachchan
Yeh shehar ab jungle ban gaye hai ... yahan din ko insaan aur raat ko shaitaan ghumte hai
Pran
Fashion industry mein talent kam bhi ho toh chalta hai ... par agar attitude galat ho toh kuch nahi ho sakta
Unknown
Aaj ka daur mazdooron ka daur hai ... aur aaj ka mazdoor apne paon ki thokaron se bade bade badshahon ki taqdeer likhta bhi hai ... aur mitata bhi hai
Shatrughan Sinha
Mukadma sabooto aur gawaho se lada jaata hai ... bhashan-baazio, nautanki aur tamasho se nahi
Anupam Kher
Jis kaam ke liye aapne mujhe rakha hai ... woh kaam kaise kiya jayega ... yeh soochna bhi mera kaam hai
Aasoon bahane se dil toh halka ho jayega lekin gham ka bhoj halka nahi hota
Raaj Kumar
Khoon bahane waalo se ... khoon achchi tarah poocha nahi jaata
Ajay Devgan
Yeh ghar mera hai ... is ghar mein bole hue mere har alfaaz kanoon ke barabar hai
Joh kam bolte hai na ... woh zyada jeete hai
Bagair maang mein sindoor aur yeh gale mein mangalsutra ... ek suhaagan adhoori hoti hai ... adhoori
Shammi Kapoor
Main jab bhi karta hoon, insaaf hi karta hoon
Om Puri
Zaroori nahi hai ki jail mein rehne waala har insaan ... mujrim hota hai
Sunil Shetty
Destiny hi toh hoti hai, jab aap bhatakte hue kisi aaise raaste par pahunch jaye ... jise humne nahi chuna ... balki khud-ba-khud woh raasta hum tak pahunch gaya
Mallika Sherawat
Meri nazar mein paida hona toh ittefaq hai ... lekin jeena ittefaq nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory