Bachche jab chote hote hai, toh unse pyar kiya jaata hai ... jab woh bade ho jaate hai, toh unhe samjha jaata ha
Shafi Inamdar
Aaj kal insaanon mein heroes bahut mushkil se milte hai
Unknown
Izzat toh daulat walon ki hoti hai ... bhikhariyon ki toh izzat ko bhi duniya nafrat ki nazar se dekhti hai
Shubha Khote
Galat aadmi ko galat pehchana hoyenga apun life mein ... lekin sahi insaan ko sahi pehchanta hai apun
Vivek Oberoi
Talwar ki mooh toot jaye ... toh apna hi haath zakhmi hota hai
Amrish Puri
Lakdiyan jalkar raakh ho jaati hai ... lekin chulhe mein unki tapan banni rehti hai
Joh jeevan de sakta hai ... woh jeevan le nahi sakta
Anupam Kher
Duniya ke dastoor paon ki zanjeer ban sakte hai, maut ki nahi ... zamana zinda laashon ka milan rok sakta hai, aatmaon ke milan ko nahi rok sakta
Dimple Kapadia
Chhot toh budhape ki hoti hai ... ek baar lag jaye, toh dard marte dam tak hota hai
Jaya Bhaduri Bachchan
Mangalsutra ek aisi cheez hai jiski keemat ek suhagan hi bata sakti hai
Rekha
Joh rishta swarth ke dhaago se bandha ho ... uske toot jaane mein koi harj nahi
Shabana Azmi
Dhan daulat toh aag ki tarah hoti hai ... insaan chahe toh usse ghar ka chula jala le ... chahe toh uss ghar pe aag laga de
Smita Jaykar
Bandookon aur talwaaron se sirf insaanon ka khoon behta hai ... faisle nahi hote
Vijayendra Ghatge
In kandhon par wahi sar hai jisne katna seekha hai ... jhukna nahi
Dharmendra
Tum kisi ka kaam chura sakte ho ... lekin uska hunar, uski kabiliyat nahi
Akshaye Khanna
Aurat ka ek bar jab byah ho jaata hai na ... toh uska naya janam hota hai
Aman Verma
Ek baar joh apradhi ban jaata hai ... woh zindagi bhar apradhi hi rehta hai
Mithun Chakraborty
Yeh court kacheri ka chakkar sharifon ke liye nahi hai
Akhilendra Mishra
Insaan ki majboori ... ussoolon ke zanjeeron ko kachche dhaago ki tarah todh deti hai
Manohar Singh
Gussa karne wali maa se gumrah karne wala baap kabhi bada nahi hota
Rama Vij
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory