Maine tumhari mohabbat ko ishwar ka vardaan samajhkar seene se lagaye rakha ... aur uske badle mein tumne mujhe kya diya? ... apni bewafai ka yeh zehar ... yeh zehar jisne meri nas-nas mein nafrat aur inteqam ke jwalamukhi bhar diye
Dilip Kumar
Kabhi kabhi faisle sahi hote hai lekin ... unhe batane ka waqt haath se nikal jaata hai
Om Puri
Zabaan aadmi ko neecha dikha deti hai ... usse zyada nahi chalana chahiye
Om Shivpuri
Aatma aur parmatma, tapasya aur vardaan, dharm aur satya ke beech bahut kam antar hai ... phir bhi usse paar karne ka maarg bahut lamba hai
Unknown
Yeh nafrat aur mohabbat ki jung hai ... nafrat sar kaatti hai aur mohabbat sar jhukati hai
Rakhee Gulzar
Apni izzat bachane ke liye joh log apni jaan na de sake ... aaise log agar hamari zameen par paon rakh de ... toh hamari zameen banjar ho jaye
Mukesh Khanna
Ek aadmi aakha duniya se lad sakta hai ... magar ek aurat ka nafrat ke aage haar jaata hai
Aruna Irani
Kanoon tere haathon ka khilona hai ... khoon karna tera pesha hai ... gharon ko barbaad karna tera karam hai ... duniya mein makkari phailana tera dharam hai ... tu laathi se nahi goliyon ke dum par is duniya mein jee raha hai
Sunny Deol
Haath unhi ke jalte hai joh aag bhujane ki koshish karte hai ... aag jalane waalon ke haath kabhi nahi jalte
Govinda
Sari zindagi kai tasveerein seene se lagayi rakhi ... kabhi khud ki tasveer yaad nahi rakhi
Jis din police aur fauj tum logon ki rakhail ban jayegi na ... us din yeh saara mulk ek randikhana ban jayega ... aur jaise chakle chalte hai na ... ussi tarah tum is desh ko bech daloge
Sanjay Dutt
Dil par pyar ka raj hota hai ... taqat aur haisiyat ka nahi
Arjun Rampal
Agar bhoolne se rishtey naate toot sakte hai ... toh is duniya mein na pyar hota, na nafrat hoti aur na dard hota
Rajesh Khanna
Yeh meri zindagi hai ... mera faisla hai!
Ayesha Takia
Is duniya mein do kisam ke log hote hai ... ek tumhare jaise joh cheezein banate hai aur ek mere jaise joh unhe bechte hai ... aur aaj ki duniya mein mere jaise log ke bina, tum jaise log kahin ke nahi hote
Dino Morea
Aurat tawaif vichaaron se banti hai ... peshe se nahi
Feroz Khan
Agar aapne aainda hum mein aap kehkar nahi pukara ... toh hum aapko aaisa girra hua shabd kehkar pukarenge ... ki aap zindagi bhar apni hi nazaron se girre rahenge
Padmini Kolhapure
Mujhe gaali do, mujhe maaro, chaho toh mere jism se khaal alag kardo ... lekin mujhe apne rishtey se alag mat karo
Amrish Puri
Nadaani mein tumne joh kadam uthaya hai ... woh sirf tumhe hi nahi, poore khandan ko ek aaise modh par le aaya hai ... jahan se har raasta barbadi aur zillat ki taraf jaata hai
Reema Lagoo
Sharaab meri dawa hai aur mera dard bhi hai
Akshaye Khanna
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory