Aaj tune jis tarah bhari sabah mein mera apmaan kiya hai ... waisa hi cheer haran Kauravon ne Draupadi ka kiya tha ... woh satta ki ladai bhi woh jeeti thi ... aur yeh satta ki ladai bhi main jeetungi ... kyun ki Mahabharat ka doosra naam hai Jaya
Kangana Ranaut
Purane dino mein jab Hindustan sone ki chidiya hua karta tha ... tab yahan hazaron jaatiyan thi ... par aaj kal sirf do tarah ki jaat hai ... pehli jinka pet bada hai aur doosri jinki bhookh ... jinki kismat mein do cheezein hai ... ya toh nighalo ya niwala bano
Unknown
Galati sudaarne ka matlab hota hai galati sweekarna ... hamare system ka masla galati sudaarne ka nahi, galati sweekarne ka hai
Mita Vashisht
Jaise kuch sawaalon ka jawaab nahi hota ... vaise hi kuch jawaabon ka sawaal nahi hota
Jackie Shroff
Jinke sar pe rajaon ka haath hai na ... unko pyadon ki maddat ki zaroorat nahi padti
Vidya Balan
Aaj kal ke rishtey is ice cube ki tarah hai ... paani mein gire aur apna wajood kho behte
Nana Patekar
Sambhal jane se zyada haseen ladkhadana hota hai ... basharte koi sambhalne wala ho
Adhyayan Suman
Aaj mera paas sab kuch hai lekin phir bhi kuch nahi hai
Sunny Leone
Zevar utaarkar phir se pehne ja sakte hai ... lekin ghar ki izzat woh zevar hai joh ek baar utar gayi toh phir nahi pehni ja sakti
Shammi Kapoor
Gareeb ki beti jis pal bhoj ban jaati hai na ... usse rukhsat kar dete hai
Amjad Khan
Daulat se bhi badkar koi cheez hai aur woh hai pyar ... pyar se bhi ooncha kuch hai aur woh hai aadmi ka apna usool
Zeenat Aman
Agar pakadne waalon ke paas hazaron aankhen hoti hai ... toh unse bachke nikalne waalon ke paas karodon aankhen hoti hai
Sanjay Dutt
Chutki bhar sindoor ki keemat bhale hi tumhari nazaron mein ek lal rang se zyada na ho ... lekin ek suhagan ke liye yeh sindoor hi uska suhaag, uski taqat hoti hai
Pooja Batra
Meri zindagi mein ek aag lagakar tum bhi chain se nahi jee sakogi ... tumhari aatma til-til karke jalegi aur tumhe sukh ka ek saans bhi nahi milega
Dilip Kumar
Maine tumhari mohabbat ko ishwar ka vardaan samajhkar seene se lagaye rakha ... aur uske badle mein tumne mujhe kya diya? ... apni bewafai ka yeh zehar ... yeh zehar jisne meri nas-nas mein nafrat aur inteqam ke jwalamukhi bhar diye
Sudharne mein sadiyan lag gayi ... bighadne mein sirf ek pal
Asha Parekh
Main tumhari yaadon ki mitti se tumhari murti banakar ... zindagi bhar uski puja karta rahoonga
Chunky Pandey
Record mein agar daag laga toh mitt bhi sakta hai ... lekin ek baar zindagi mein daag lag gaya toh kabhi nahi mitt sakta
Amitabh Bachchan
Aapki aankhon se bahe ek ek aasoon ki, hamare pariwar ke bahe ek ek khoon ke boond ki keemat ... Thakur Gajendra ko apne khoon se chukani hogi
Ajay Devgan
Budhapa bahut buri cheez hoti hai ... aur usse bhi bura hota hai budhape mein akelapan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory