Kya hai sainik hona ... aaj hamare desh ka kisaan kheton mein logon ke liye anaaj ugha raha hai ... bina kisi fikr ke, kyun ... kyun ki usse pata hai ki seema par hum khade hai ... maa har subah khushi khushi apne bachon ko school chhodkar aati hai ... uske mann mein koi dar nahi hota, kyun ... kyun ki usse pata hai ki seema par hum khade hai ... is desh ka har ek insaan, har roz kadi mehnat karta hai ... apne pariwar ke bhavishya ke liye ... apne bachon ki tarakki ke liye ... usse unki suraksha ki koi chinta nahi hoti, kyun ... kyun ki usse pata hai ki seema par hum khade hai aur rahenge ... is bharose ko nibhana, yeh hota hai sainik hona