Hamari saanson ki awaaz sunkar toh maut ke farishtay bhi gabrakar bhaag jaate hai
Rekha
Maut ke badhte hue saaye ko zindagi rok nahi sakti ... aur zindagi ke badhte hue kaaravan ko maut rok nahi sakti
Adalat se jab kisi ko saza-e-maut milti hai ... toh Rashtrapati ke paas mercy appeal karke maut se bach sakta hai ... lekin Dada Thakur jab kisi ko maut ki sazaa sunata hai ... toh uske liye zindagi ke sare raste band ho jaate hai
Mithun Chakraborty
Vidhata ne jab jeevan aur mrityu ke daurahe par doobara lakar khada kar diya hai ... toh is khel ko jeevan ki baazi lagakar hi khatam karoonga
Dharmendra
Tum bahut khush kismat ho ... joh aaj tumne Shaka ki sirf muskurahat dekhi hai ... maathe pe padhe huye woh bal nahi dekhe ... joh zindagi ke khet mein maut ke hal chala dete hai
Shatrughan Sinha
Yeh maut ka shehar hai ... is shehar ki galiyon mein andhera hi andhera hai
Sach joh kisi ki jaan lele ... usse kahin achcha hai woh jhoot joh kisi ko maut ke mooh se bacha le
Manoj Kumar
Main tujhe aaisi maut maroonga ... joh maut kisi dushman ne kisi dushman ko bhi na di hogi
Vinod Khanna
Aaj main apni hukumat ki adaalat ka gawah bankar, vakil bankar, judge bankar ... tum jaise khoon ka sauda karne waale saudagar ko sazaa deta hoon ... sazaaye maut
Main us haramzade ko aaisi bhayanak maut doonga ... ki kaali duniya ka har mujrim gaddari ke naam se kaanp uthega
Shakti Kapoor
Krishna Prasad maut ki diary mein ek baar jiska naam likh deta hai ... usse yamraj bhi nahi mitta sakta
Raaj Kumar
Maut ko daakhil hone ke liye kisi ki ijaazat ki zaroorat nahi padti hai
Jackie Shroff
Maut aur Mumbai se koi lautke nahi aata
Unknown
Har insaan ko apni zindagi jeene ka aur apni maut marne ka haq hai ... lekin hum mein maut ko bhoolkar, zindagi ko gaale laga lena chahiye
Tu zinda rahega ... lekin teri har saans se main zindagi noochta rahoonga ... tu zinda rahega roz ek maut dekhne ke liye
Paresh Rawal
Bhole ka damru toh trilok sunte hai ... janam se pehle hum apni mrityu khud hi chunte hai
Allah ke ghar se maut ka farmaan aur apne ghar mein bin bulaya mehmaan ... kabhi bhi aa sakta hai
Maut ke ghunghroo pehenke naachte hai hum ... hamari maut Marathon ke har ghar ek naya Shiva, ek naya Samba pehda karegi ... lekin jab tu marega tab yeh teri Mughal sultanat bhi mar jayegi
Vicky Kaushal
Kriya karam ka samaan koi bhi khareed ke laye ... magar kaam uske aata hai jiska waqt aaya ho
Anil Kapoor
Joh aadmi time ko salute nahi karta ... uska life maut se bhi dangerous hota
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory