Maut zindagi ki har tasveer ka doosra rukh hai ... karam ache kiye ho toh maut achi milti hai ... pani ki tarah gale se utar jaati hai ... aur agar tumhare jaise karam bure kiye ho toh maut bhi buri hi milti hai ... ek sookhi roti ke tukde ki tarah gale mein atak jaati hai ... neeche nahi utarti
Rajesh Khanna
Muntazir hoon kab se, ki itni shafaa meri aahon mein aaye ... kuch dawa ho jayegi zindagi ki, maut agar teri baahon mein aaye
Tanushree Dutta
Aap toh woh hai joh saare jahan ka khoon peekar bhi pyasa reh jaye ... maut toh kya yamraj ko bhi nighalkar bhooka reh jaye
Johnny Lever
Maut aur zindagi ki lakeer toh pehda hote hi uparwaala likh deta hai
Ayub Khan
Tumhare aur hamare beech sirf ek hi cheez ka batwara ho sakta hai ... aur woh hai tumhare hisse ki maut
Danny Denzongpa
Main kisi se nahi darta ... main zindagi se nahi darta, maut se nahi darta, andheron se nahi darta ... darta hoon toh sirf khoobsurati se
Dilip Kumar
Sher jab ghayal ho jaata hai ... toh shikari ke liye maut ban jaata hai
Akshay Kumar
Hindustani namak ki taqat hi kuch aur hai ... rupayon ki laalach aur maut ka darr bhi Hindustaniyon ko gaddari karne pe majboor nahi karta
Mohan Joshi
Agar apne mehboob ke kadamon mein mujhe maut bhi mile ... toh zindagi hai
Bina Rai
Main nafrat ke mohron se dushmani ka shatranj ussi ki bisaat pe khelonga ... aur aaisi maat doonga, aaisi maat doonga ki maut bhi roo padegi
Shakti Kapoor
Apna vasiyat nama banakar rakho ... kyun ki maut kisi bhi waqt tumhare ghar ka darwaza khatkhata sakti hai
Amrish Puri
Us kamine ko main dhoondkar aaisi sazaa doonga ... ki us sazaa ke naam se maut tak kaanp uthegi
Aditya Pancholi
Jahan maut bikti hai ... wahan kuch bhi khareeda ja sakta hai
Deepa Sahi
Do din, sirf do din deta hoon tujhe ... teesre din tera chautha hoga
Sunil Shetty
Doosre janam mein yakeen ho ... toh maut ka khauf kam ho jaata hai
Vishwajeet Pradhan
Jab tab Marcos kisi ko maarna nahi chahta, woh marta nahi ... aur jab maarna chahta hai, toh woh bachta nahi
Kal nahi aaj aayega ... tere liye bhi yamraj aayega
Unknown
Jaldbaazi aur gusse mein uthaya hua har kadam ... sirf maut aur barbaadi laata hai
Vidyut Jamwal
Joh joh unke nikat hota hai na ... samajh lo uski jeb mein death ka ticket hota hai
Preity Zinta
Maut kisi ko dokha nahi deti
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory