Kriya karam ka samaan koi bhi khareed ke laye ... magar kaam uske aata hai jiska waqt aaya ho
Anil Kapoor
Joh aadmi time ko salute nahi karta ... uska life maut se bhi dangerous hota
Unknown
Palak jhapakte paasa palat jaata hai, palak jhapakte baazi bighad jaati hai, palak jhapakte kismat badal jaati hai, palak jhapakte pralay aa jaati hai ... jab palak jhapakti hai toh us pal ke liye aadmi soo jaata hai ... aur soona maut ke barabar hota hai
Amrish Puri
Humko aata hi nahi maut se darna yaaron ... hum toh toofan ko samajhte hai khilona yaaron
Fardeen Khan
Mujhe Raj Mahal ki zindagi chahiye ... aur kisi Taj Mahal ki maut
Kimi Katkar
Duniya ke dastoor paon ki zanjeer ban sakte hai, maut ki nahi ... zamana zinda laashon ka milan rok sakta hai, aatmaon ke milan ko nahi rok sakta
Dimple Kapadia
Agar mera beta marr gaya ... toh teri is dharti par mere bete ki maut nahi ... sachchai aur nyay ki maut hogi
Aasaan kishton par paise dene waale log ... kal maut bhi aasaan kishton par denge
Woh kutte ki maut marega
Agar zindagi hai toh tumse juda na ho ... aur agar maut ho toh tumse juda hone se pehle
Priya Rajvansh
Carlos se cheating ... maut se meeting
Prabhu Deva
Isse itna dard do ki jab woh apni maut ki bheekh maange ... tab bhi uske mooh se sirf cheekein hi nikle
Akshaye Khanna
Us rakshas ki di hui maut tumhari di hui zindagi se kahi behtar hogi ... woh ek baar ki maut hogi ... lekin tumhari di hui zindagi ke har pal main ek maut marta raha hoon
Dharmendra
Pyar aur sadbhavna ki badi se badi deewar bhi ... zindagi aur maut ke beech nahi khadi ho sakti hai
Satyendra Kapoor
Koi nahi hoga beghar jab talak zinda hai Amar ... maut jise dhoondti hai dar-badar, log usse kehte hai baazigar
Deepak Tijori
Ab mera rasta maut ki thokar bhi nahi rok sakti
Sujit Kumar
Marne wale ke saath koi mar toh nahi jaata
Zindagi ka kya bharosa hai ... kaun jaanta hai kab maut kis darwaze se dhakil hoti hai ... kab in chalti hui saanson ka silsila toot jaata hai
Duniya ek stage hai, zindagi uska drama hai, insaan keval naam-matra actor hai aur maut uska parda hai
Amitabh Bachchan
Sipahi shaheed ki maut marta hai aur gunda kutte ki maut
Vijayashanti
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory