Maut toh har kisi ko aati hai ... nahi aati toh bas pyar ko maut nahi aati ... kabhi nahi aati
Unknown
Maa ki mamta ko maut ke thapadhe bhi nahi badal sakte
Sulochana Latkar
Maut zindagi ki har tasveer ka doosra rukh hai ... karam ache kiye ho toh maut achi milti hai ... pani ki tarah gale se utar jaati hai ... aur agar tumhare jaise karam bure kiye ho toh maut bhi buri hi milti hai ... ek sookhi roti ke tukde ki tarah gale mein atak jaati hai ... neeche nahi utarti
Rajesh Khanna
Muntazir hoon kab se, ki itni shafaa meri aahon mein aaye ... kuch dawa ho jayegi zindagi ki, maut agar teri baahon mein aaye
Tanushree Dutta
Aap toh woh hai joh saare jahan ka khoon peekar bhi pyasa reh jaye ... maut toh kya yamraj ko bhi nighalkar bhooka reh jaye
Johnny Lever
Maut aur zindagi ki lakeer toh pehda hote hi uparwaala likh deta hai
Ayub Khan
Tumhare aur hamare beech sirf ek hi cheez ka batwara ho sakta hai ... aur woh hai tumhare hisse ki maut
Danny Denzongpa
Woh maut bhi kitni haseen hogi ... apne janaze ke paas dus barah kudiyan namkeen hogi
Aftab Shivdasani
Main kisi se nahi darta ... main zindagi se nahi darta, maut se nahi darta, andheron se nahi darta ... darta hoon toh sirf khoobsurati se
Dilip Kumar
Maut ka koi waqt nahi hota hai
Sher jab ghayal ho jaata hai ... toh shikari ke liye maut ban jaata hai
Akshay Kumar
Agar apne mehboob ke kadamon mein mujhe maut bhi mile ... toh zindagi hai
Bina Rai
Log jeevan mein hi khush rahe woh kaafi nahi ... marte waqt bhi khushi se marna zaroori hai
Apna vasiyat nama banakar rakho ... kyun ki maut kisi bhi waqt tumhare ghar ka darwaza khatkhata sakti hai
Amrish Puri
Jahan maut bikti hai ... wahan kuch bhi khareeda ja sakta hai
Deepa Sahi
Do din, sirf do din deta hoon tujhe ... teesre din tera chautha hoga
Sunil Shetty
Yeh dosti ka haath maut ka panja tab banta hai ... jab hum dushmani pe utar aate hai
Kiran Kumar
Doosre janam mein yakeen ho ... toh maut ka khauf kam ho jaata hai
Vishwajeet Pradhan
Jab tab Marcos kisi ko maarna nahi chahta, woh marta nahi ... aur jab maarna chahta hai, toh woh bachta nahi
Body mein daru kam hoga na toh marne ke baad jalane ke liye bahut lakdi lagega ... bahut pedh kaatna padega ... global warming hoga ... so mother nature aur unke bachon ko surakshit rakhne ke liye at the time of death body mein full daru hona chahiye ... bas ek maachis ki teeli, boom ... eco-friendly antim sanskar
Abhishek Bachchan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory