Teri tabiyat toh hamesha murghi ki tarah khauff ke ande diya karti hai
Utpal Dutt
Abhe oh tan-tambure ... barsaati kan-khajure!
Rajendra Nath
Langoor ki dumm par angoor ki bail ... mohabbat mein ab tu saare sitam jhel
Shakti Kapoor
Bhaag gaye bhalu, vadiya ho gaya alu ... wahan ka main paalu, aur yahan ka tu paalu
Unknown
Sui ke is chote se chhed mein se oont jaisa bhari bharkam janwar guzar sakta hai ... magar ishwar ke raj mein daulat ka pujari kabhi nahi ja sakta ... kyun ki wahan daulat ka koi mol nahi
Dharmendra
Galati insaan se ek baar hoti hai ... joh same mistake do baar kare ... woh gadha
Ranvir Shorey
Tum ek saanp ko paal rahe ho ... aur tum usse jitna bhi doodh pilaoge woh tumhe hi dasega
Om Puri
Mere piya ka laal kabootar parbat parbat udta hai ... pooch lo usse sara naksha saanj bhay woh udta hai
Sher jab ek baar khoon chak leta hai ... toh adamkhor ho jaata hai
Sher ke panjon se hirni chhut sakti hai ... makari ke jaal se makhkhi chhut sakti hai ... magar Zantala ke haathon se ladki nahi chhut sakti
Tinnu Anand
Joh sher bhagwan se nahi darta ... woh bhagwan ke kutto se kya darega
Amitabh Bachchan
Maa ka khoon chaatne wali kutte jaisi zabaan se main apna naam nahi sunana chahta
Log machli ki aankhon ko nishana banate hai ... aapne toh machli ki maa ki aankh hi kar di
Sanjay Mishra
Sher toh sirf acting karta hai khunkhaar hone ki ... asli shikaar toh sherni karti hai
Alia Bhatt
Shikaar jab tak nazaron ke saamne hai, teer chala dena chahiye
Vidya Balan
Agar kutte ki maut aati hai toh woh shehar ki taraf bhaagta hai ... aur saand ki aati hai toh woh Spain ki taraf
Daaman uska aaya purze hokar haath mein ... udh gayi sone ki chidiya, reh gaye par haath mein
Sanjeev Kumar
Ek baar ko naag apna raasta badal sakta hai ... lekin nagin apne phan faila de na ... toh saphera bhi usse kabu nahi kar sakta
Divya Khossla
Aapko nature nahi Netflix chahiye ... pedh nahi iPad chahiye ... blackbuck nahi Starbucks chahiye ... aapko jungle se zyada Jungle Book pasand hai ... aur tiger se zyada Tiger Shroff ... kyun ki development joh hota hai na ... woh of the youth, by the youth, for the youth
Varun Dhawan
Sher ke pair mein kaanta chub jaane se jungle kutton ka nahi ho jaata
Himesh Reshammiya
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory