Sachai aur burai ki jab bhi bhidant hui hai ... dum hamesha burai ne hi todha hai
Jab tak tum jaisi auraten is dharti par zinda hai ... kalyug mein bhi satyug zinda rahega
Ghayal sher aur taqatwar dushman ka shikaar karne mein bahut mazaa aata hai
Itna maroonga, itna maroonga ki gali gali bheek maangti phiregi teri mundi
Main itni oonchai par khada hoon ... ki mujhe dekhne ke liye gardan itni oonchi uthani padti hai ... ki reed ki haddi toot jaati hai
Aaj kal sunne mein aa raha hai ... ke vilayat se yeh maal aa raha hai, vilayat ko woh maal ja raha hai ... arre kisi ko hosh hai ki Bharat varsh kahan ja raha hai
Insaan kitni bhi jaldi kare, pahunchta tabhi hai jab usse pahunchna hota hai ... aur pahunchta wahi hai jahan usse pahunchna hota hai
Jis tarah dane dane pe khane waale ka naam likha hota hai ... bilkul ussi tarah har sikke pe paane waale ka naam bhi likha hota hai
Is vardi ke andar barood se bana hua jism hai ... agar us jism ne aag pakad li toh woh dhamaka hoga ki ... tere jism ke chitre cheetiyan tak nahi dhoond payengi
Main tolta pehle hoon aur bolta bad mein hoon
Pollution, population aur corruption ... yeh teeno bimaariyan kaput beton ki tarah is desh ko kha jayegi
Aadmi ko apni haisiyat ke andar rehna chahiye ... doosron ki daya par jeene ko jeena nahi kehte
Jisse main insaan ka bachcha samajhkar bees saal tak palta raha ... woh aasteen ka saanp nikla
Hamare yahan toh yamdoot bhi hamari ijaazat ke bina nahi aa sakta
Chandni raat hai, taaron sa bikhar jaane de ... apni aaghosh mein lele, mujhe mar jaane de
Is desh mein vakil aur barrister toh sirf auraton ko hi hona chahiye
Joh kabhi nahi hota ... wohi ek din zaroor hota hai
Daulat mein bahut vazan hota hai
Humne tumhe paal poskar is din ke liye bada nahi kiya tha ... ki humse sawal jawab karne ki jurrat karo
Hamara aadmi pehle zindagi se alag hota hai ... baad humse
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory