Naye jooton ki tarah shuru mein naye naye afsar bhi kaatte hai
Shikast humne kabhi dekhi nahi ... jeet-e-jee hum kabhi mare nahi
Gareeb ka muqaddar us par reham karne se nahi ... balki us mein zimmedari pehda karne se badla jaata hai
Aaj ki duniya mein imaandari woh khotta sikka hai joh bazar mein kahin nahi chalta
Main khata hoon vegetarian aur kaam karta hoon non-vegetarian
Tumhara nishana toh chook gaya aur ab humne is goli par tumhara naam likh diya hai ... aur jis din yeh goli hamari bandook se chalegi ... hamara nishana nahi chookega
Isse toh aaise zakhm do joh kabhi na bhare ... aur yeh zindagi bhar apni hi laash ko apne kandhon par uthaye tadpata rahe
Jisse hum khareed nahi sakte ... usse hum khatam kar dete hai
Agar andar ka dard bol sakta ... toh angara ka har zakhm ek kitaab hota
Naya naya hosh hai aur naya naya josh hai
Hum mein logo ko is hadh tak darrana hai ... ki unhe apni zindagi ka har din aakhri din lage
Sooraj dhalne se pehle tumhare kadamon ke nishaan is gaon ki mitti se mitt jaane chahiye ... varna tum mitta diye jaoge
Aage hai zamana par bhook peeche peeche ... sari duniya ki baatein do roti ke neeche ... arre chamde ki jhopadiya mein aag lagi hai bhaiya ... barkha na bhujaye, bas bhujaye rupaiya ... aur phir bhi bhare na pet ... toh yaad aati hai yaaron Pari rice plate
Palak jhapakte paasa palat jaata hai, palak jhapakte baazi bighad jaati hai, palak jhapakte kismat badal jaati hai, palak jhapakte pralay aa jaati hai ... jab palak jhapakti hai toh us pal ke liye aadmi soo jaata hai ... aur soona maut ke barabar hota hai
Jab hum kisi ko retire karte hai toh woh seedha upar chala jaata hai
Talwar ki mooh toot jaye ... toh apna hi haath zakhmi hota hai
Lakdiyan jalkar raakh ho jaati hai ... lekin chulhe mein unki tapan banni rehti hai
Upar waale ne yeh dil patthar ka banaya hai ... isse shock toh lag sakta hai, lekin kabhi stop nahi ho sakta
Thappad tumhare mooh par pada hai ... aur nishaan mere gaal par chhape hai
Aadmi jisko joh samajhta hai woh woh nahi hota ... aur joh hota hai woh nazar nahi aata ... aur joh nazar aata hai woh usse kuch alag hi hota hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory