Apne raaste se kaanto ko hata dena aur dushmano ko mita dena ... hamare khandan ki parampara hai
Galati ek baar hoti hai, do baar hoti hai ... lekin teesri baar iraada hota hai
Kal hum Holi khelenge ... lekin is Holi mein gulaal ki bajai dhuna udhega ... pichkariyon mein se rang nahi, bandookon mein se goliyan niklengi ... geeton ki jagah cheekein ... aur laaj ki jagah laashein tadapengi
Saanp ke bil mein ghuskar zeharilay phanon se dushmani nahi lete ... varna khoon ke saath zehar bhi dil mein ghus jayega
Tere saare khandaan ki maut ... mere haath ki lakeeron mein likhi hai
Mere hi kutte ne mujhe kaata
Aaj hoga mere aakhri dushman ka khaatma ... aur phir kehlaunga main is duniya ka vishwatma
Tune mere khoon ke cheente udhaye hai ... main teri dajjiyan udha doonga
Ajgar apne shikaar ko das kar nahi maarta ... balki usse apne lapet mein jakadkar uski haddiyon ke tukde tukde kar deta hai ... aur uski saanson ka gubaar nikal deta hai
Balraj apne dushman ko us waqt tak nahi bhoolta ... jab tak usse shamshan tak nahi pahuncha deta
Bhudhape mein jism bekaar ho jaate hai ... lekin tune toh apni zindagi hi bekaar kar di
Jis tarah dhanush se nikla hua baan vapas nahi aa sakta ... jis tarah chitta jalne ke baad manushya jeevit nahi ho sakta ... ussi tarah se mera diya hua shraap bhi vapas nahi laut sakta
Sher ke kharrate bhaukte hue kutte se zyada khatarnak hote hai
Zindagi sirf pyar par nahi palti ... zindagi chalane ke liye paisa chahiye, aaram chahiye, rutba chahiye
Talwar kitni bhi tezz ho ... lekin apne mayaan ko kabhi nahi kaatti
Maut apni jagah aur waqt likhakar aati hai
Aaj tak woh rassi hi nahi batti gayi ... joh mujhe phansi laga sake
Badla jitna itminan se liya jaaye ... utna hi uska mazaa badh jaata hai
Apni kisi pyari cheez par jab chot ka nishaan lagta hai ... toh dil mein dard jaag uthta hai
Hamare ghar ki bahu betiyan jab kabhi beizzati ke daldal mein kadam rakhti hai ... toh hum unhe haveli ki char deewari mein zinda chunwa dete hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory