Duniya mein teen cheezein nikalne ke liye ungli tedhi karni padti hai ... dibbe mein se ghee ... gair kanooni basti ... aur shaadi shuda mardon mein se masti
Jis tarah mitti ke har kann mein pahad hota hai ... har beej mein ek jungle ... har talwar mein ek sena ... ussi tarah har ek Maratha mein chupa hai lakh Maratha
Agar ek maut se nau jaane bachti hai, toh bachani chahiye ... yahi army ka asool hai
Jis aandhi toofan mein logon ke aashiyane udh jaate hai ... us mein hum chaddi aur banyan sukhate hai
Sarat ghodon pe lagate hai ... kathor sheron pe nahi
Jiske paas mohabbat hai ... usse na jaan ka darr hai, na jahaan ka
Main sirf ek zubaan samajhta hoon ... Hindustani
Duniya mein teen cheezein bin bulaye aa jaati hai ... maut, julaab aur yeh janaab
Jab chahe chuna lagaye ragad ke khaye ... ab khud pe baat aayi toh kare hai hai ... arre bhoya pedh babool ka toh aam kahan se khaye
Jungle mein jaanwar ka shikaar ho toh insaan ko pata bhi nahi chalta ... lekin insaan ka ho toh jaanwaro ko bhi khabar ho jaati hai
Woh aaye hamare ghar mein, khuda ki kudrat hai ... kabhi hum unko, kabhi apne ghar ko dekhte hai
Paap ki umar bahut lambi hoti hai ... lekin paapi ki umar bahut choti
Tumhe bheja mujhe rokne ke liye ... mujhe bheja tumhe thokne ke liye
Jaise ek roti ki ahmiyat ek bhookha jaanta hai ... zindagi ki ahmiyat ek marne waala jaanta hai ... vaise hi maa ki ahmiyat sirf ek anaath hi jaan sakta hai
Joh dikhta hai woh hota nahi ... aur joh nahi dikhta usse hum maante nahi
Rishton ke fayde nahi ... rishton ke mainne dekhte hai hum
Hamari chai bahut kadvi hoti hai
Mulaqaton ko din aur hafton se kyun gina jaata hai ... saanson se kyun nahi ... agar saanson se gina jaaye toh lagega ... bahut lambi umar hai is kam umar rishtey ki
Chillao mat ... agar humri awaaz oonchi hui toh sabka phat jayega yahan
Joh shikaar khud chalkar sher ki gaar mein aata hai ... woh achchi tarah janta hai ki sher ke daant kaise todhe jaate hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory