Hum chatti ka dhood yaad dila denge ... I will make him remember milk number 6
Duniya ka koi bhi dharm ... ek bete ko apni maa ki aakhri ichcha poori karne se nahi rok sakta
Sach ke liye har keemat chuka sakne ki himmat mujhe tumse mili hai ... tumhe kho sakne ki himmat bhi mujhe tumse mili hai
Agar koi mujhse pooche ki is duniya mein mera sabse bada dushman kaun hai ... toh main kahoonga tu ... sabse zyada nafrat main kisse karta hoon ... toh main kahoonga tujhse
Jab se main hoon ... tab se mera yeh sapna bhi hai
Jeena haraam kar diya hai hamara ... sabun, towel, bedroom, bathroom ... poore ghar pe kabza kar chuka hai
Usne kaha ek goli ki keemat hum desiyon ki jaan se kayi zyada hai ... toh phir yeh goli apna moolya kaise kamayegi ... tumhari bandook se nikalkar jab yeh seedha kisi angrez ki chaati ko challi karegi ... uske dil se takrayegi ... aur yeh aag ugalti goli uske khoon mein nahayegi ... tab
Is desh ki gareebi ka karan gareeb nahi hai ... unse lootne wale tum jaise baimaan ameer hai
Main tum jaise logon ke saath sauda nahi karta ... sirf faisla karta hoon
Janam dene waali sirf maa hi nahi ... mitti bhi hoti hai
Problem kabhi insaan se bada nahi hota ... insaan hi usse bada banata hai
Insaan ki jaat usse achcha bura nahi banati ... uske karam usse achcha bura banate hai
Ya toh main bhagwan ke khel mein apni haar maan loon ... ya uske khel ko palat doon
India mein officers ka nahi, unki biwiyon ka bahadur hona zaroori hai
Dil ko rokta hoon toh aankhen bhatak jaati hai ... aankhen band karta hoon toh khwab bhatak jaate hai ... khwabon ko todta hoon toh yeh haath bhatak jaate hai
Jeet ki khushi zahir karna achi baat hai ... lekin maghroor hona munasib nahi
Aap itne mohtaj nahi ki aaisi roti na kama sako ... joh imaandari ke aate se bani ho aur sachchai ki aanch par pakki ho
Waqt ne teri yadasht ko bhale hi khokla kar diya ho ... lekin tera diya hua har zakhm meri maa ke dil mein utna hi taza hai ... jitne mere daaman par mere baap ke aasoon
Kabhi kabhi kayar ki shakal ... bahadur ki akal se zyada sahi hoti hai
Isse kehte hai maar ... khane waala bhi roye aur maarne waala bhi roye
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory