Tere is duniya mein aane ki wajah ek aurat thi ... zyada herogiri dikhayega na toh tere is duniya se jaane ki wajah bhi ek aurat hi hogi
Deepika Padukone
Dil ki sun, dil ki maan ... bhaad mein jaye duniya jahaan
Unknown
Duniya ke barbaadi ki jadh hai ... ek insaan ka doosre insaan pe hukumat karne ka shauk
Manoj Kumar
Is matlabi duniya mein agar koi bematlab ki baat bol jaaye ... toh us betmatlabi baat ka bhi bahut bada matlab hota hai ... aur tum jaise matlabi insaan ke saath rehne ka yeh matlab hai ki ... saari duniya ka matlab samajh mein aa jaata hai
John Abraham
Duniya aaj bhi ek hi cheez pe kayam hai ... jiski wajah se duniya kayam hai ... pyar
Arjun Kapoor
Sari duniya bhi joh thukraye toh kya hota hai ... jiska koi nahi hota uska khuda hota hai
Sujit Kumar
Yeh ek zakhm khaye hue naujawan ka haath hai ... yeh jiske gaal pe padta hai uski duniya ghoom jaati hai
Akshay Kumar
Duniya mein do cheezein infinite hai ... yeh universe aur mard ka ego
Sharman Joshi
Bahut jala hoon main is akelepan ki aag mein ... aur tumhare liye main sari duniya ko jala sakta hoon
Duniya mein rehna hai toh kaam kar pyare ... haath jodh sabko salaam kar pyare
Govinda
Iss duniya ki gaadi baimaani aur rishwat ke paiyon par chal rahi hai
Amitabh Bachchan
Akalmand aadmi mein ek bahut badi bewakoofi hoti hai ... woh apne sivah sari duniya ko bewakoof samajhta hai
Bobby Deol
Mujhe duniya ka sabse daulatmand aur sabse shaktishali insaan banna hai
Naseeruddin Shah
Is duniya mein koi bhi banda aisa nahi hai ... jisne apni life mein koi apradh nahi kiya ho
Annu Kapoor
Umeed pe nahi ... jugaad pe duniya kayam hai
Pulkit Samrat
Chaaron aur kudrat ka phaila kaisa yeh andhera hai ... maut ka taandav hai, gidhon ka dhera hai ... na pedhon ki chaanv hai, na kahin basera hai ... is bhayanak baat ka nahi koi savera hai ... maut ke khel se bachne bhaag rahe hai yeh log ... is hi dharti se judhe the, kyun bhool rahe hai yeh log ... dukh, peedha aur chaaron aur nirasha hai ... na jeene ki aur na jeevan ki asha hai ... kahin bhi duniya mein na padhe dharti par sookha ... insaan sab kuch seh sakta hai, par nahi reh sakta bhookha
Lahu luhaan hua hai falak, yeh kaisa loha phigla hai ... ek suraj doob gaya peeche, ek suraj samne nikla hai
Joh maa baap ki izzat nahi karte ... uski duniya mein kahin pe bhi izzat nahi hoti
Kabhi kabhi jannat aur duniya ke beech ka fasla ... sirf ek kadam hota hai
Sunil Shetty
Main is duniya ka bhut aur bhavishya hoon
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory