Marr jayenge, mitt jayenge par bhai ka sar na katenge ... desh hai humko pyara apna, hum desh mein maut na batenge
Unknown
Faanoos banke jiski hifaazat sarkar kare ... woh mantri kyun mare, jiska ilaaj poora aspataal kare
Raza Murad
Har ghadi chashm-e-kharidaar mein rehne ke liye ... kuch hunar chahiye bazaar mein rehne ke liye ... badnaami se shohrat ka woh rishta hai ke log ... nange ho jaate hai akhbaar mein rehne ke liye
Emraan Hashmi
Mehfil mein jalate hai diya doosre log ... lete hai ujalon ka maza doosre log ... mujrim kabhi pakde nahi jaate ... lekin paate hai adalat se saza doosre log
Amitabh Bachchan
Jab pehli baar usse mulaqat hogi ... saari duniya reh jayegi sookhi lekin tere sar par halki halki barsaat hogi
Ram Kapoor
Sari duniya bhi joh thukraye toh kya hota hai ... jiska koi nahi hota uska khuda hota hai
Sujit Kumar
Tum kya samajhte ho kanoon koi khilona hai, mujrimon ke samne bauna hai? ... arre ab toh wohi hoga joh hona hai
Deven Verma
Kya farak padta hai Daler ho ya Udhas ... show ka mazaa aayega jab aap ho hamare paas
Sharman Joshi
Iodex lagane se theek hoti hai moch, B-Tex lagane se theek hoti hai khujli ... dil lagane nikle joh pati, usse maarke current gira deti hai bijli
Sanjay Dutt
Chashm-e-baddoor gar khush qadoqamat hogi ... aaj fitna hai chand roz mein qayamat hogi
Neetu Singh
Woh mere paas hota hai goya ... jab koi doosra nahi hota
Madhuri Dixit
Dushman lakh bura chahe toh kya hota hai ... wohi hota hai joh manzure khuda hota hai
Doob maro is insaaf par, aasun bahao is kanoon par ... joh kamzoron ke liye talwar ki dhaar, aur zabardast ke liye bank-e-bahar hai ... joh apne liye nagme-e-saaz, aur hamare liye maut ki awaaz hai
Sohrab Modi
Aankhon hi aankhon mein ishaare ho gaye ... hum tumhare aur tum hamare ho gaye
Sanjay Khan
Tere bina main nahi, mere bina tu nahi ... hamare bina prem nahi, prem bina hum nahi
Padmini Kolhapure
Yeh dharti roh rahi hai, yeh aasman roh raha hai ... nonsense yeh sab kya ho raha hai?
Rajpal Yadav
Shaadi ki tamanna thi kunware chale aaye ... jaise gaye vaise hi bechare chale aaye
Ek umeed kahi rang se lehrai hai ... dil mein aayi hai toh duniya mein bahaar aayi hai
Hum bajaye toh kaano mein pain ... aur yeh paade bhi toh Tansen
Ishq par zor nahin hai, hai yeh woh aatish Ghalib ... joh lagaye na lage, aur bujhaye na bujhe
Ashutosh Rana
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory