Sainik hona ek desh ka sipahi hona hi nahi hai ... sainik hona ek shahadat hai, ek qurbani hai, balidaan hai ... aur sainik ke ghar waale sainik se bhi badhe shaheed hote hai
Satish Shah
Main aayi toh thi tumhe phasane, par khud hi tumhare pyar mein phas gayi ... tumhe qaid karne ke liye jaal bichaya tha maine, aur khud hi qaidi ban gayi
Divya Dutta
Partners hisaab kitaab ka rishta rakhte hai, naap tol ka rishta rakhte hai ... lekin bhai ishwar ka diya hua rishta hai
Zayed Khan
Jab bade, bade na rahe ... toh bachchon ko bada banna padta hai
Twinkle Khanna
Us waqt par joh maine sahi samjha maine kiya ... lekin aaj joh hone ja raha hai woh bilkul galat hai
John Abraham
Agar duniya mein maut se badi sachai koi nahi ... toh sach maniye aapko dhoka dekar meri zindagi bhi maut se kam nahi
Asha Parekh
Iski har identity, ghost identity hai
Kay Kay Menon
Main apne khoon ke har ek katre ko jalakar uske raste ke diye jalaongi
Divya Bharti
Baat jab sadak tak pahunch jaati hai ... toh ghar ke andhar jhankne ki zaroorat nahi padti
Roopesh Kumar
Pehle paisa insaan ke haath ki mail hua karta tha ... aur aaj insaan ke haath mail mein paisa dhoondte hai
Govinda
Jinke paas zabaan nahi hoti ... woh aksar aasoonyon se baatein karne lagte hai
Rohini Hattangadi
Retire toh aadmi ko us din hona chahiye ... jab upar waale ka bulava aa jaye
Rajesh Khanna
Pedh chahe babool ka ho ya chandan ka ... kulhadi sabko kaatti hai
Sadashiv Amrapurkar
Main har daur mein har nasal ke kaatil dekhe ... main mohabbat hoon meri umar badi hai yaaron
Shatranj ki chaal kabhi adhoori nahi chhodte
Unknown
Hum toh un logon mein se hai joh is duniya mein sirf shareer lekar pehda huye hai ... hamari na toh taqdeer likhi jaati hai ... na hi aasman mein hamare muqaddar ke sitare hote hai
Amitabh Bachchan
Paise mein badi taqat hoti hai ... jinke paas paisa nahi hai na, unse toh unke apne bhi nazar pher lete hai ... aur jinke paas paisa hai, unke gair tak apne ho jaate hai
Shreeram Lagoo
Iss duniya ki gaadi baimaani aur rishwat ke paiyon par chal rahi hai
Hansi mazak mein jhoot bolna aur baat hai ... lekin main zindagi mein jhoot bolkar kuch bhi haasil nahi karna chahta
Ajay Devgan
Insaano mein kuch log zehreelay saanpo se bhi zyada khatarnak hote hai ... aur kuch log devtaon se bhi zyada mann ke sachche aur achche
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory