Truth and justice needs no lobby, no politics
Anil Kapoor
Inspector saab kanoon aur farz ke rakhwaale baad mein banna ... pehle dil ke rakhwaale bano
Saif Ali Khan
Joh hathyar se nahi darrta ... woh pyar se darrta hai
Amitabh Bachchan
Suraj ke aakash mein doobne se log nahi soote ... sarhado par jab hum jaagte hai, tab desh chain ki neend sota hai
Pankaj Dheer
Josh mein kaam karne waale yah toh mitti ke neeche hote hai ... yah lakdiyo ke upar
Bobby Deol
Patni har cheez ka batwara bardaash kar sakti hai ... lekin apne pati ka nahi
Karisma Kapoor
Bhale hi rishta todh do ... magar kisi ka bharosa na todho
Ajay Devgan
Jeevan mein kabhi kabhi aaisa waqt aata hai ... jab aapko apne zindagi mein sabse pyari cheez aur zimmedariyo ke beech mein chunana padta hai
Madhavan
Ache waqt ki kadhar ... burre waqt ke baad hi hoti hai
Asrani
Hum apni zubaan mein faulaad rakhte hai ... joh halaat ki garmi se na toh phigalti hai aur na hi lachakti hai
Shatrughan Sinha
Khandaan, maan maryada, shaan-o-shaukat, rutba aur vakaar ... sadiyo ki mehnat aur mushakat ke pasine aur zindagi ki kash-ma-kash ke baad banta hai
Raaj Kumar
Aurat ki sehan-shakti dharti ki tarah hoti hai ... joh har zulm seh leti hai, magar jab uske khroad ka jwalamukhi phatta hai ... toh woh sabko tabah kar deti hai
Madhuri Dixit
Tabaadlo se ilaake badalte hai ... iraade nahi
Amrish Puri
Saari duniya ka dard ... maa ki chatti se lagte hi mitt jaata hai
Arman Kohli
Naari ka doosra naam seva hi toh hai
Smita Patil
Mere andhere jeevan mein ... subah phir se laut aayi hai
Rakhee Gulzar
Waqt ka marham ... zindagi ke har zakhm ko bhar deta hai
Har jooti yeh soochti hai ki woh pagdi ban sakti hai ... magar jooti ki kismat hai ki usse pairon tale raunda jaye ... aur pagdi ka haq hai ki usse sar par rakha jaye
Om Puri
Haddi toh toot kar phir bhi jud jati hai ... lekin aadmi ki izzat, uska atmasaman ek baar toot jaye na toh phir kabhi nahi judta
Akshay Anand
Maine usse kitna yaad kiya ... yeh toh meri yaadash ko bhi yaad nahi
Kulbhushan Kharbanda
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory