Aadmi ko khwab dekhne chahiye apni aukaad aur haisiyat ke hisaab se
Shammi Kapoor
Aapki umar aur aapke tajurbe se aapka rutba kahin badhkar hai
Shahid Kapoor
Kuch logon ke liye tumhare dil mein itni nafrat bhar gayi hai ... ke pyar ke liye tumhare dil mein zara bhi jagah nahi bachi
Jaya Bhaduri Bachchan
Mujhe seniors bulate hai firing dene ... ya criminals dhamki dene
Ram Charan
Andhvishvas mein vishvas ... kamzor log karte hai
Aditya Pancholi
Yeh dono mulk Hindustan aur Pakistan ek hi maa ke bete hai ... bas karvat badal ke lete hai
Dalip Tahil
Agar apne aap par bharosa ho toh dosti aur bhi kamyaab bana deti hai ... aur agar apne aap par shaq ho toh barbaad bhi kar sakti hai
Om Puri
Duniya mein aisa ek aadmi batao, jisne koi bada sapna poora karne ke liye ... kuch achcha, kuch bura aur kuch bahut bura na kiya ho
Ajay Devgan
Jin logon ke bina hum jee nahi sakte ... wohi humse cheen liye jaate hai
Unknown
Zindagi zaroorto ke hisaab se guzaarni chahiye ... na ki khwaisho ke hisaab se ... kyun ki zaroortein saala fakir ki bhi poori ho jaati ... magar khwaishein badshaho ki bhi adhoori reh jaati hai
Veena Malik
Barood phatkar dharti ko cheer sakti hai ... lekin talaab mein khilne waala phool toh khilta hi hai
Vivek Mushran
Har insaan ke andar ek rakshash hota hai ... bas kuch log usse bahar nikaalne se darte nahi
Prithviraj woh tairakh hai joh nadi naale nahi ... sailaabi dariya leharon se khelta hua paar kar jaata hai
Raaj Kumar
Woh us chaand ki tarah hai jismein gareebi ka daag toh hai magar ... bahut sari khoobiyon ki chamak bhi hai
Mukesh Khanna
Is zameen se kabhi nafrat mat karna ... kyun ki aadmi jab oonchai se ludakta hai ... toh usse neeche is hi zameen par aana padta hai
Jeetendra
Paisa nahi toh kuch aur sahi ... har insaan ki koi na koi kamzori zaroor hoti hai
Sapru
Palne waala pehda karne waala se kahin uncha hota hai ... maa toh sirf janam deti hai na ... lekin zindagi deti hai palne waali
Amitabh Bachchan
Hum apne dhande mein jis kisike saath taluk rakhte hai ... uski agli, pichli, sari zindagi ka hisaab kitaab apni kitaab mein rakh lete hai
Pran
P.C. Mathur jisse dushmani karta hai ... uski jhadon ko khood kar hamesha ke liye khatam kar deta hai
Kulbhushan Kharbanda
Zindagi ek natak hi toh hai, lekin zindagi aur natak mein farak hai ... natak ko jahan chaho, jab chaho badal do lekin ... zindagi ke natak ki dor toh upar waale ke haath mein hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory