Tumne samundar ko lalkaara hai ... ab aaisa toofan aayega, aaisa sailaab uthega ... ki tumhara ishq, jispar tumhe bahut naaz hai ... tinke ki tarah beh jayega, tabah ho jayega, fanaa ho jayega
Sadashiv Amrapurkar
Jab taqdeer kharab ho ... toh ek galati doosra mauka nahi deti
Parmeet Sethi
Nasha chahe kitna hi zyada kyun na ho ... ek din utarta zaroor hai
Tabu
Joh zyada aage chalta hai usse yeh pata nahi chalta ... ki kab uske peeche poori game palat gayi ho
Abhishek Bachchan
Aapki kabr bhi main apne haatho se khodoonga ... aur aapko dafnaonga bhi main apne haatho se
Shahrukh Khan
Style sikhaya ja sakta hai ... saadgi yah simplicity nahi
Salman Khan
Kahi baar choti choti nadaaniyo se nuksaan bada ho jaata hai
Irrfan Khan
Agar yeh kinaare hamari mohabbat ki Ganga ko rokne ki koshish karenge ... toh phir yeh Ganga bhi bhaad bankar in kinaaro ko todh degi
Vivek Mushran
Yeh zindagi ek khet ki tarah hai jahan insaan ... kisan ki tarah paap aur punya ke beejh bohta hai
Kader Khan
Ek baar zabaan dene ke baad agar kal ko kuch ho gaya na ... toh main teri zabaan kheench loonga ... phir tu kisiko jaan toh de payega, lekin zabaan nahi de payega
Govind Namdeo
Main ittefaq se koi kaam nahi karta
Akshay Kumar
Main toh budhi ho gayi, meri aankhen kamzor ho gayi ... lekin mera vishvas kamzor nahi hua
Rakhee Gulzar
Insaan ke har achche burre karam ka natija, kisi aur ko bhugatna parta hai
Kangana Ranaut
Tumhe lagta hai jab tak duniya nahi badlegi tum nahi badloge ... lekin sach toh yeh hai ki, jab tak tum nahi badalte tab tak duniya nahi badalne waali
Sonali Kulkarni
Main marne se nahi darta ... is liye ki maut is zindagi se zyada bhayanak nahi ho sakti
Suresh Oberoi
Hamesha akal ki jeet nahi hoti ... kabhi kabhi akal taqat ke shikanje mein aa jati hai
Kulbhushan Kharbanda
Main joh aag lagata hoon ... usse bhujana bhi jaanta hoon
Prem Chopra
Kabhi kabhi aisa lagta hai jaise yeh sab pichle janam mein hua ho ... aur kabhi jaise kal hi
Luke Kenny
Aakhri waqt pe toh dushman bhi saath deta hai
Ajay Devgan
Joh insaan jurm ke khilaaf awaaz uthata hai ... usko duniya baaghi hi kehti hai
Naseeruddin Shah
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory