Filmy Quotes

Drama
Drama

(Page 82 of 177)
# 1621

Bachche tumne sirf shehar ke college mein padai ki degree li hai ... maine yeh duniya ke college mein tajurbe ki padai haasil ki hai


Son, you have only received a degree in education from a college in the city ... I have achieved the education of experience in the college of this world

# 1622

Har tawaif ek laash hai


Every prostitute is a dead body

# 1623

Abhi hamari ek mulaqat aur hogi ... aur woh tumhare liye aakhri hogi


We will meet one more time ... and that one will be your last

# 1624

Apni sharton pe chalne waale ko keemat chukani padti hai


People who live by their own terms, have to pay the price

# 1625

Hum dono ne decide kar liya hai ... ke hamare beech mein koi bhi teesra aa gaya ... toh uska chautha pakka


We both have decided that ... if a third person comes in between us ... then his fourth day death prayer is happening for sure

# 1626

Teri mitti jazbaat se judi hai aur meri akkal pani se ... tu jaan de sakta hai, main jaan le sakta hoon


Your soil is connected with emotions and mine with pride ... you can give your life, and I can take a life

# 1627

Yeh neend bhi badi ajeeb cheez hai yaar ... maut ki tarah befikar kar deti hai aur saath hi saath zinda bhi rakhti hai


Sleep is a very strange thing ... it makes you carefree like death and at the same time it keeps you alive as well

Aksar 2

Unknown

DramaDeath
# 1628

Tarai mein rehne walon ko oonchai pe rehne walon ki hamesha zaroorat padti hai


People who live in the valleys will always need people who live up high in the mountains

# 1629

Gareebi se bada is duniya mein koi shraap nahi hai ... aur bhook se bada koi dukh nahi


There is no bigger curse than poverty in this world ... and no bigger sorrow than hunger

# 1630

Aadmi apni buraiyon ke liye doosron ko dosh deta hai ... par sach toh yeh hai ... ki aadmi ke bheetar chupi apni hi koi kamzori hoti hai jiske kaaran woh bura banta hai


A person blaims someone else for his evil doings ... but the reality is that ... there is some weakness hidden inside that person which makes him do the evil things

# 1631

Insaan bhi ajeeb hote hai ... baat kehni kisi se hai magar kehte kisi aur se hai ... aur sabse zyada joh baat kehne mein sharmaate ya katrate hai ... woh hai pyar ki baat, mohabbat ki baat


Humans are so strange ... they may have to say something to someone but they tell that to someone else ... and the thing in saying which they feel shy the most ... is about love, is about romance

# 1632

Marte marte main itna mar chuka hoon ... ki mujhe toh apne jeene par bhi shaq hone laga hai


By dying bit by bit, I'm so dead that ... I've started to doubt on my existence

# 1633

Daulat dekar insaan khareede jaate hai, imaan khareede jaate hai ... magar kisi ke mann mandir mein base hue bhagwan nahi khareede jaa sakte


With money you can buy people, you can buy integrity ... but you can't buy the god that lives in the heart of someone

# 1634

Agar aurat kisi se pyar karti hai, woh chahe kitna hi ghatiya ho ... lekin wohi uske liye sab kuch hai ... aur kisi se nafrat karti hai, woh chahe kitna hi mahaan ho ... lekin uske liye kuch bhi nahi


When a woman loves someone then no matter how bad he is ... but still he is everything for her ... and when she hates someone then no matter how great he is ... but still he is nothing for her

# 1635

Teen cheezon ki wajah se rishtey bante bighadte hai ... aapke dil mein kya hai, aapki kismat mein kya hai aur aapki jeb mein kya hai


Because of three things relationships are made or destroyed ... what is in your heart, what is in your destiny and what is in your pocket

# 1636

Shareer ke rishton se bhi alag kuch rishtey hote hai ... zindagi aur maut ke rishtey ... insaaniyat ke rishtey


There are some relationships other than the relationship of body ... the relationships of life and death ... the relationships of humanity

# 1637

Galatfahmi mein jeene waale ... asliyat mein mar jaate hai


Those who live in misapprehension ... die in reality

# 1638

Aadmi karz toh chuka sakta hai ... lekin ehsaan nahi


A person can pay back a loan ... but not a favour

# 1639

Aap saas bankar hamari zindagi mein aayi ... aur itna pyar diya ki hamari maa ban gayi


You came in my life as a mother-in-law ... and you gave me so much love that you became my mother

# 1640

Mohabbat ussi ka naam hai joh insaan ko qurbaaniya sikhati hai


Love is the name of a thing that teaches a person how to sacrifice

Recently Added

Box Office Winners


Movies Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ#

Stars Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ

Copyright © FilmyQuotes.com