Filmy Quotes

Drama
Drama

(Page 142 of 176)
# 2821

Aurat ka dil bahut bada hota hai ... woh apne dil mein dukh, pareshaani, sab apne dil mein samaa leti hai


The heart of a woman is very big ... she can keep all the grief and problems contained in it

# 2822

Mard toh mard hi hota hai ... chahe kahin ka bhi ho


A man is a man ... no matter where he is from

# 2823

Dard bhi toh jism ka ek hissa hota hai


Even pain is a part of the body

# 2824

Insaan sirf ek hadh tak bardaash karne ki taqat rakhta hai ... aur takleef hadh se bahar ho jaaye ... toh uska har ussool sheshay ki tarah toot tootkar girne lagta hai


A person has the strength to tolerate until a certain limit ... and if the problems cross the limit ... then all his principles start to break and fall like a mirror

# 2825

Jab tum tana maarte ho ... toh teer ki tarah aar paar ho jaata hai


When you taunt ... then the words goes through like an arrow

# 2826

Bhagwan ki dharti bahut badi hai ... aur insaan ke kadam bahut chote


The land of God is very big ... and the steps of humans are very small

# 2827

Agar mera beta marr gaya ... toh teri is dharti par mere bete ki maut nahi ... sachchai aur nyay ki maut hogi


If my son dies ... then it will not be the death of my son on this earth ... it will be the death of truth and justice

# 2828

Gusse se zyada goos mein power hai


There is more power in bribe than there is in anger

# 2829

Ek baar apne jism par hamla bardaash kar sakta hoon magar ... mere dil par joh hamla karega, main usse kabhi maaf nahi karoonga


For once I can bear an attack on my body ... but if anyone attacks my heart, then I will never forgive them

# 2830

Pyar ki taqat daulat ki taqat se oonchi hoti hai


The power of love is bigger than the power of money

# 2831

Kahani ke anth mein sab thik ho jaata hai ... aur thik na ho toh samjho kahani khatam nahi hui


At the end of the story everything becomes fine ... and if it is not fine then the story is not over yet

# 2832

Saari baatein har ek ko nahi batayi jaati


Everything is not meant to be said to everyone

# 2833

Insaaf ke jin saudargaro ke bhram par, tum farz ka sauda kar rahe ho ... unki gardane bhi hamare haatho se door nahi


The deal that you are doing of the duty, under the delusion from the merchants of the law ... even their necks are not far away from my hand

# 2834

Jhoparpattiyo mein toh sirf umeedein palti hai ... aur sapne ... sapne toh sirf achche ghar mein hi poore hote hai


Only hopes are raised in the slums ... and dreams ... dreams are only completed in a good house

# 2835

Mere mooh se nikla har lafz ... heere se zyada keemti hai


Every word that comes out of my mouth ... is more expensive than a diamond

# 2836

Aasaan kishton par paise dene waale log ... kal maut bhi aasaan kishton par denge


People who lend money payable on easy installments ... tomorrow will even offer death on easy installments

# 2837

Kuch baatein patthar ke lakeer se zyada gehri hoti hai ... patthar toot jaata hai lekin lakeerein nahi mitne paati


Some things are deeper than the lines of a stone ... the stone can break but the lines cannot be erased

# 2838

Yakeen aur shak mein zara sa hi fasla hai ... koi shak?


There is only a small gap between belief and suspicion ... any doubts?

# 2839

Hum uski woh beizzati karenge, woh beizzati karenge ... ki saale ki aane waali saath nasale beizzat pehda hongi


We will humiliate him so badly, so badly ... that his next seven generations will be born humiliated

# 2840

Gussa ek bahut badi daulat hoti hai ... usse bhi sooch samajhkar karch karna chahiye


Anger is a large amount of wealth ... you should think before you spend it

Recently Added

Box Office Winners


Movies Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ#

Stars Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ

Copyright © FilmyQuotes.com