Zabaan ko lagaam do!
Unknown
Hum woh hain joh patthar ko kaanch se todh liya karte hain
Mai gareeb hoon na, isliye?
Joh haath angaare ko chupaye ... angaara us hi haath ko jalaa deta hai
Satyendra Kapoor
Isse dhakke maarke bahar nikaal do
Is ghar ke darwaaze tumhare liye hamesha ke liye band hein
Rishta tootne ki koi ek wajah nahi hoti ... bahut si adhoori ladaiyon ki thakaan hoti hai bas
Neetu Singh
Communication is like oxygen for relationships ... lack of communication se galatfehmiyan pehda hoti hai ... aur galatfehmiyon se relationships khatam ho jaati hai
Suna hai sach aur jhooth ki jung mein jeet hamesha sach ki hoti hai ... aur apne desh ka sach toh yeh hai ... ki jeet ussi ki hoti hai jiske paksh mein kaagaz hota hai ... itni taqat hai apne system mein kaagaz ki ... aur kaagaz ki is taqat se takrana na toh koi mamooli kaam hai aur na hi kisi mamooli aadmi ka kaam hai
Satish Kaushik
Dil ke matter mein dimaag ko laaoge na ... toh forever lonely reh jaaoge
Insaan jab bachpan mein hota hai na, toh usse koi farak nahi padta hai ki log uske baare mein kya sochte hai ... aur jawani mein woh parwah nahi karta hai ki log uske baare mein kya sochte hai ... lekin budhape mein aate aate pata chalta hai ki log toh tumhare baare mein sochte hi nahi hai
Dil chhune wali kahaniyan kabhi dil cheer bhi deti hai
Himesh Reshammiya
Kisi se itna mat darro ki khud hi ke liye izzat khatam ho jaye ... kya hai na, kuch rishton mein na izzat aur darr ke beech ka farak pata nahi chalta
Hamare beete huye kal ka koi shareer nahi hota ... lekin uski maujoodgi ka ehsaas hamare aaj ko jinjhoor deta hai
Nana Patekar
Sambhal jane se zyada haseen ladkhadana hota hai ... basharte koi sambhalne wala ho
Adhyayan Suman
Ameer ameer hota hai, gareeb gareeb ... yeh zindagi ke sikke ke do alag alag pehlu hai joh kabhi ek doosre se mil nahi sakte ... zameen aur aasmaan sirf shayar ke khayalon mein milte hai
Om Shivpuri
Bahar se dikhne mein toh hum jagmaga rahe hai ek deep ki tarah ... lekin andar se sirf ek jali hui kaali baati ki tarah hai
Rajesh Khanna
Talvar jab tootti hai toh aadmi ki jaan bach jaati hai ... lekin kalam ki nok jab tootti hai toh aadmi ki jaan chali jaati hai
Shakti Kapoor
Gareeb ki beti jis pal bhoj ban jaati hai na ... usse rukhsat kar dete hai
Amjad Khan
Pyar ka davaa karna bahut aasaan hota hai ... lekin usko nibhana utna hi mushkil
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory