Aurat ka charitra safed chaddar hota hai ... aur agar uspar daag lag jaye toh woh kabhi nahi dhulta
Shashikala
Judai ke dard ka mol kabhi chukaya nahi ja sakta ... usse sirf samjha jaata hai
Tom Alter
Jahan jahan hum mohabbat karne waalon ka khoon girega ... hazaron deewane pehda honge
Akshaye Khanna
Pyar ka naam hai judaai ... yahi judaai pyar ka inaam bhi hai aur pyar ki sazaa bhi
Sharmila Tagore
Hamare hausalon ka sar kat toh sakta hai ... lekin tere aage jhuk nahi sakta
Mukesh Khanna
Joh doosron ke liye zehar gholta hai ... usse khud bhi zehar peena padta hai
Prem Chopra
Main ek aurat hoon mitti ka dher nahi ... jiski joh chahe shakal bana li, jahan jee chahe rakh diya
Galat rasta apni manzil tak kabhi nahi pahunch sakta ... aur us raste par chalne waale sirf gumrah ho jaate hai
Ashmit Patel
Yeh thappad tune mujhe nahi apni naukri ke mooh par maara hai ... apne khandan ke ek ek aadmi ki khushiyon par maara hai ... apni zindagi par maara hai
Anupam Kher
Is samaaj ke bhediye ne unki izzat ki kagaz par vasna ki kali syahi se balatkar ka ghinauna itihaas likh diya
Mithun Chakraborty
Mana ki bandook aur talwar mein bahut dum hai ... lekin kalam aur kalam ki awaaz hazaron bandookon aur lakhon talwaron par bhari hai
Ayub Khan
Andhere mein insaan pal do pal ke liye tehar toh sakta hai, aaram kar sakta hai ... par zindagi jee nahi sakta
Tanvi Azmi
Gareeb ameer ka farak sirf haisiyat se hi nahi ... dil se bhi hota hai
Kishore Kumar
Chutki bhar sindoor ki keemat bhale hi tumhari nazaron mein ek lal rang se zyada na ho ... lekin ek suhagan ke liye yeh sindoor hi uska suhaag, uski taqat hoti hai
Pooja Batra
Har positive ka negative hota hai ... roshni ke baad andhera zaroor hota hai
Shakti Kapoor
Aaj ke zamane mein izzat ussi ki hai ... joh ya toh kisi ka kuch bighad sakta ho ya phir savaar sakta ho
Meri zindagi mein ek aag lagakar tum bhi chain se nahi jee sakogi ... tumhari aatma til-til karke jalegi aur tumhe sukh ka ek saans bhi nahi milega
Dilip Kumar
Jab dil par bhoj ho aur dimag mein pareshani ... toh nishana kabhi fit nahi behatta
Shashi Kapoor
Sarang tedi nazar kabhi bardaash kar bhi leta hai ... magar gandi nazar kabhi bardaash nahi kar sakta
Aapki aankhon se bahe ek ek aasoon ki, hamare pariwar ke bahe ek ek khoon ke boond ki keemat ... Thakur Gajendra ko apne khoon se chukani hogi
Ajay Devgan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory