Jab se tumhe dekha hai aankhen band ho ya khuli ... sirf tumhara chera nazar aata hai
Shiksha woh khidki hai joh kholo toh duniya ko dekhne ka aapka nazariya badal jaata hai
Loser kya mehsoos karta hai, I know ... I also want to know winners kya mehsoos karte hai
Aadmi khane se gareeb hota hai, kapdon se gareeb hota hai ... lekin agar vicharon se gareeb ho na ... toh woh uski apni galati hoti hai
Yeh mera tera, tera mera ... is duniya ki sabsi badi problem hai
Fayda wahi hai joh sabka ho
Jab zameer bikta hai ... toh zindagi bhi soot sameth vasooli karti hai
Main ladies log ke saath shopping nahi karta hai, pata hai kyun? ... bhav tol bahut karte hai
Goli woh chalate hai joh dimag nahi chalate
Janta party nahi, leader follow karti hai
Dekhne walon ke liye sport khel hai ... lekin khelne walon ke liye sport ka matlab hai sacrifice
Body mein daru kam hoga na toh marne ke baad jalane ke liye bahut lakdi lagega ... bahut pedh kaatna padega ... global warming hoga ... so mother nature aur unke bachon ko surakshit rakhne ke liye at the time of death body mein full daru hona chahiye ... bas ek maachis ki teeli, boom ... eco-friendly antim sanskar
Zindagi mein do cheez zaroori maani jaati hai ... pani aur sona ... pani ke bagair aadmi jee nahi sakta ... sona na khane ka kaam aata hai, na peene ka, na nahane ka, na dhone ka ... lekin phir bhi bhaav sone ka hai, pani ka nahi
Haan mera dil keh raha hai main sar se leke paon tak, tere sandali badan pe mohabbat likh doon ... mera dil keh raha hai main tere surkh taraste hoton ki lali pe, apne labon ki shabnami shararat likh doon ... haan mera dil keh raha hai tere pajeb ki jhankar pe, tere bahon ki chandan haar pe, apni bechaini ki halat likh doon ... mera dil keh raha hai tere uljhe kesu savar in aankhon ke aaine mein, tera dulhan sa roop niharon ... is mahekti zameen ki sej pe apne armano ki chahat likh doon, mohabbat likh doon, mohabbat
Log pyar ko kahan kahan talash nahi karte hai ... par pyar apne aashiqon ko khud dhoond leta hai
Unhi ke hathyar aur nishana bhi unhi ko banayenge
Aaise kaamo mein dimaag kisi aur ka lagta hai, haath kisi aur ka ... aur vaat tere jaiso ka
Upar wala aankhen sabko deta hai ... nazar kisi kisi ko ... dimaag sabko deta hai ... samajh kisi kisi ko ... yeh joh aankhen aur nazar, dimaag aur samajh ke beech ka joh antar hai ... yeh shiksha se bharta hai
Ithihaas se na seekhne wale khud ithihaas ho jaate hai
Taqat badhne se zimmedariyan bhi badh jaati hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory