Joh pehli saans lene ki choot deta hai ... wohi aakhri saans par rok laga sakta hai
Insaan ki mitti mein dhong mila hua hai ... mitti ko dhong ke pani se hi ghoondkar, maalik ne insaan banaya hai
Abhi aaye, abhi behte, abhi daaman sambhala hai ... tumhari jaun jaun ne hamara dum nikala hai
Bhagwan ne mujhe is liye zinda rakha ... ke main tumhare maut ke parwaane par dastakhaz kar sakun
Vasuli mein hum rupaye nahi ... samne waale ke maathe par pasine ki boondein ginte hai
Galatfahmi mein jeene waale ... asliyat mein mar jaate hai
Hum hai maut ki woh express ... duniya jise kehti hai Madam X
Tere baap ke telephone par khulne waale darwaaze jail ke nahi ... kothon ke honge ... tere baap ke ishaaron par adalaton ke faisle nahi ... tawaifon ki adaein badalti hogi
Betiyan baap ki pagdi mein lipti hoti hai ... pagdi utar jaye toh woh nangi ho jaati hai
Agar kisi stree ko apne purush ka mann jeetna ho toh uske liye do hi raste hai ... ek khane ka aur doosra sone ka
Hamare naseeb mein champagne nahi ... sirf pain hai
Humse dushmani modh lekar tumne zehareelay bichhoo ka dank apne shareer mein gaadh liya hai ... aur bichhoo ke dank se aadmi marta nahi hai ... zindagi bhar tadapta aur sisakta rehta hai ... tum bhi jab tak jeeoge tadapte aur sisakte hi rahoge
Mujhe gunaah aur gunehgaar dono se sakht nafrat hai
Koi hum mein maarkar hamara anth kya karega ... mitne waale nahi hai hum, koi hamara khaatma kya karega ... zindagi ko apni qaid mein liye ghoomte hai hum ... koi zindagi se hum mein juda kya karega
Yeh khaki vardi peheneke sirf do hi matlab hai ... ya toh zulm ko khaak mein mila do ... ya shaheed hokar khud khaak mein mil jao
Ek patni ke liye vidhva bankar jeene se toh achcha hai ... ki woh suhaagan ki maut mare
Aaj agar samaaj se apradh ko khatam karna hai toh usse jadh se mitana hoga ... us pedh ko hi kaatna hoga jispar apradh ke phal pehda hote hai ... aur woh pedh tu hai
Shikaar ke waqt sherni jis zameen par apne khunkhar panje rakhti hai ... us zameen ko bhi uske chalne ka ehsaas nahi hota ... ehsaas tab hota hai jab shikaar kiya hua khoon zameen par bikhar jaata hai
Har aadmi insaan nahin hota
Kanoon hamari giraftari ka plan baad mein banata hai ... hum usse todne ke raaste pehle hi bana lete hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory