Kya hai mrityu ... hamare haathon se shatru ka mar jaana yeh sochna hai mrityu ... ranbhoomi mein shatru se bhaybheet hokar jeevat rehna hai mrityu?
Joh pran deta hai woh bhagwan hai ... pran bachane wala vaidya ... aur pran ki raksha karne wala kshatriya
Apne haathon ko hathyar bana lo ... apni saanson ko aandhiyon mein badal do ... hamara rakht hi mahaan sena hai
Soch agar pakki ho toh ek tinka bhi talwaar mein badal sakta hai
Gully cricket mein toh sab Tendulkar hai ... asli talent woh hota hai joh bhare maidan ke bahar sixer maar sake
Dhas jaye yeh dharti ya chatak jaye aakash ... nyay ke haathon hokar rahega anyay ka sarvanash
Aaj mere liye mat ladna, apne liye ladna ... us din ke liye ladna jab hazaron varshon baad tumhari gaathayein sunakar maayein beton ko bada karengi ... us din ke liye ladna jab Bharat ki kisi beti par haath daalne se pehle durachari tumhara paurusheya karke tharra uthega ... us din ke liye ladna jab ithihaas mein tumhara naam padhkar, samaan se sar jhuk jayenge ... mere liye mat ladna, apne liye ladna, apni maryada ke liye ladna
Ravan, aa raha hoon main ... aa raha hoon nyay ke do pairon se anyay ke das sar kuchalne ... aa raha hoon apni Janki ko le jane ... aa raha hoon adharam ka vinash karne
Satya pareshaan ho sakta hai, parajit nahi
Paap kitna bhi balwaan kyun na ho, anth mein jeet sach ki hi hoti hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory