Bankar, savarkar woh nikle makaan se ... yahi shor hoga yahan se, wahan se ... qayamat qayamat kisse kehte ho ... woh dekho qayamat chali jaa rahi hai
Rakesh Bedi
Duniya mein ek hi Majnu hai, duniya mein ek hi Laila hai ... ek haath mein glass pakado, doosre haath mein thaila hai
Deven Verma
Chai ki chah hai kuch aur nahi hai ... ek cup agar mil jaye parvah nahi hai
Satyendra Kapoor
Tere teer-e-neemkash ko koi mere dil se pooche ... yeh khalish kahan se hoti joh jigar ke paar hota ... joh nigah ki thi zalim toh phir aankh kyun churai ... wohi teer kyun na maara joh jigar ke paar hota
Sanjay Dutt
Bulbul se, aashiyan se, na sayyaad se gila ... kismat mein qaid thi likhi fasl-e-bahar mein
Shatrughan Sinha
Raat bhar anda pakaya, phir bhi woh kacha reh gaya ... mar gaye shayar, lekin ullo-ka-patha reh gaya
Mehmood
Gin aur Coca-Cola peekar Sharafat bola ... roz raat ko humne ek naya dhakan khola
Shakti Kapoor
Pajame ne kaha dhoti se ... bane hum dono ek dhaage se ... farak agar hai hum mein toh sirf itna ... tu khulti peeche se, main aage se
Mujh jaise vakil se kabhi mat lena panga ... varna kapde pehne rahoge aur duniya samjhegi nanga
Kader Khan
Mujhe na chhedo yaaron main nashe mein hoon ... sheeshay mein main, main mein nasha, main nashe mein hoon
Unknown
Aapki kitni sachi paakh mohabbat hai ... arre sach kehte hai kehne waale, sach ko hamesha rahat hai
Satish Shah
Bewafaa tujhko pukarenge zamane waale ... na chura aankh mere dil ko churane waale
Angdhai na lena aaise haathon ko uthakar ... seene se tere dekh dupatta na satak jaye
Saeed Jaffrey
Meri haseen mehfil mein, ishq patthar hai aur kuch bhi nahi ... apne nagamo se zindagi de isse, ya mitta apni zindagi bhi yaheen
Dhuan, dhuan aur dhuan ... chala hai dil, chala hai jahaan ... is jalti duniya ko chhodkar jaon kahan
Hum do hamare do, teesra kabhi na ho ... patni se bhaiya door raho, kitni bhi adhchan ho
Amitabh Bachchan
Treta mein chaas mile aur Dvapar mein ghee ... Kalyug mein chai mile so bana banake pee
Ashutosh Rana
Koi nahi hoga beghar jab talak zinda hai Amar ... maut jise dhoondti hai dar-badar, log usse kehte hai baazigar
Deepak Tijori
Ek mahine se toh hai sookha, na jaane kahan saavan ki chhadi hai ... andar khatiya padi hai, bahar khatiya khadi hai
Fardeen Khan
Bahut ho gayi pyar ki acting, bahut gaa liye duet ... ab jis kaam ke liye main tumhe yahan laya hoon na, just do it
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory