Is qadar vakif hai meri kalam mere jazbaaton se ... agar main ishq bhi likhna chahun, toh inquilaab likha jata hai
Unknown
Yahan kisi ka kisi pe haq nahi hota ... jahan mohabbat hoti hai wahan shaq nahi hota
Aditya Roy Kapur
Hum yunhi zindagi bhar udna chahte the bharpoor ... par ghar walo ko hamari azaadi kahan thi manzoor
Ali Fazal
Upar wale ka karm aur duaon ka saaya jiske saath hai ... koi khatra kya bhigadega us bete ka, jis bete ke sar pe maa ka haath hai
Himesh Reshammiya
Haan karta hoon toh aate hai paseene unko ... na na karta hoon toh raaton ko woh dar jaate hai
Umar toh kasrat karne ki hoti hai ... hasrat karne ki nahi hoti hai ... aazmana hai toh ab bhi aazma sakti hai ... aur shamma jab tak bhujti nahi aag laga sakti hai
Govinda
Tere husn ki laali mane deewana bana rahi hai ... jahan dekh raha hoon tu hi tu nazar aa rahi hai
Kya kadardano se yeh mehfil khali hai ... na kahin seeti na kahin taali hai
Talab ki raah mein kuch paane se pehle kuch khona padta hai ... bade saude nazar mein ho toh chota hona padta hai
Divya Dutta
Kab kaha maine ke woh mera ho jaye aur main uski ... gair na ho jaye, itni si hasrat hai toh hai
Sara Loren
Kitna mushkil hai mohabbat ki kahani likhna ... jaise pani se, pani pe, pani likhna
Annu Kapoor
Kaun kehta hai qayamat aayegi sab mar jayenge ... hum Bihari hoon pedh pe chad jayenge
Wafa ki aag hum zalim tere dil mein laga denge ... kasam teri kisi din ishq karna bhi sikha denge
Ayub Khan
Mohabbat mein jeena, mohabbat mein marna ... na aansoon bahana, na fariyad karna
Maangan maran saman hai, arre mat koi maango beekh ... maangan se marna bhala, yeh satguru ki seekh
Gurmeet Ram Rahim Singh
Kyun aag lagati phirti ho, jab garam hawa se darti ho ... dil pehle jalakar khaak kiya, ab thandi saansein bharti ho
Joy Mukherjee
Nigahein woh ki raahgiron pe jinke vaar hote hai ... yeh achchi sooraton waale musafir maar hote hai
Dharmendra
Mitt gaye jiske liye naam tak uska na liya ... kaash is baat ki usko bhi khabar ho jaati
Sujit Kumar
Woh toh chalte hai seena ubharke ... kyun na loote maaze vasl-e-yaar ke
Punya kamaye kikri aur peepal daan kare ... jungle jaisa vaid kahan joh sabka dhyan kare
Om Shivpuri
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory