Dilli mein raat ko ghumta hua har aadmi shikaari hota hai
Vivek Oberoi
Har kamyaab insaan ke peeche kisi na kisi aurat ka haath zaroor hota hai ... aur mere liye woh tum ho
Chandrachur Singh
Aadmi jitna ganja hota hai, utna maaldaar hota hai
Johnny Lever
Joh mard apne pyar ke bandhan ki hifazat nahi kar sakta, woh mard nahi ... joh aurat apne pyar ke bandhan ko todna chahti hai, woh aurat nahi
Anil Kapoor
Dard aur mard mein da aur ma ka farak hota hai ... da aur ma bole toh, Dum
Neil Nitin Mukesh
Koi aurat hokar bhi bandook utha leti hai ... aur koi mard hokar bhi chudiyan pehen leta hai
Aruna Irani
All good guys are either gay or married
Unknown
Jahan dard hai, wahan mard hai
Sanjay Dutt
Bande ki zindagi mein na woh ek bhayanak pal hota hai ... jis mein uska mann kar jaata hai ki shaadi kar loon ... agar woh us ek pal ko bina kuch kiye guzar jaane de na ... life set ho jaati hai
Yahan supari deke kisi ko jaan se maar dalna, ek decent ladka dhoondne se zyada aasaan hai
Sonakshi Sinha
Moochein toh mard ki zevar hoti hai
Kutte ki pooch aur mard ki mooch mein koi farak nahi hota
Dharmendra
Mard ki zaat par hamesha lagaam kaskar rakhni chahiye ... zara dheeli chhod do toh awara behl ho jaate hai
Himani Shivpuri
Mard ki nazron mein aurat ka waqt tab tak hi hota hai ... jab tak uska usse dil laga rahe
Vijayendra Ghatge
Delhi shehar mein mard abhi bhi abla hai ... uska kabhi bhi bajh sakta tabla hai
Vrajesh Hirjee
Khoobsurat ladki ki baat par aitbaar na karne waala mard nahi kehlata
Randhir Kapoor
Jis tarah husn aane se nazakat aa jaati hai ... ussi tarah mardon mein haisiyat aane se guroor aa jaata hai
Mard do zaat ke hote hai ... ek joh bewakoof pehda hote hai ... doosre joh bewakoof banaye jaate hai
Reena Roy
Tum mard zaat ke naam pe ek dhabba ho ... dhabba toh kya dhabba ke abba ho
Rani Mukherjee
Nigaahein mature ladkon ki bhatakti hai ... seasoned aadmiyon ki nazar parikhi hoti hai ... jahan tik jaati hai, umar bhar tiki rehti hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory