Yeh bhashan nahi yeh meri warning hai ... aur meri warning tumhare is cigarette case ke upar likhi hui warning ki tarah nahi ... jisse tum bhoolkar cigarette ke kash lagaya karte ho ... meri warning kanoon ke kitaab ke us full stop ki tarah hai ... jiske baad kuch bhi karne ya sochne ki jagah nahi bachti
Govinda
Yeh police station hai ... yahan mujrim nahi, kanoon bolta hai
Unknown
Aaj main tujhe kisi adaalat mein pesh karne ke liye giraftar nahi karoonga ... aaj main tujhe uss upar waale ki adaalat mein pahunchaonga jahan tujh jaise haraamzadon ka faisla ... bagair behas ke hota hai
Vinod Khanna
Hindustan unka hai jinke haath mein pistol hai ... shehar se gaon tak pistol ki hukumat chalti hai, pistol ka samvidhaan chalta hai, pistol ka kanoon chalta hai
Rahul Bose
Judge sahab, maine khoon nahi kiya hai
Phansi aur tum mein ab utna hi faasla hai jitni ki yahan se kacheri door
Dev Anand
Adalat mein jab rape case discuss hota hai na ... toh it's not less than a rape itself
Gurmeet Choudhary
Sakht kanoon banane se nahi ... kanoon ka sakhti se paalan karne se hi atyachar kam honge
Sunny Deol
Kanoon us andhe musafir ki tarah hai joh apna rasta ... sabooton aur gawahi ki baisakhiyon ke sahare tay karta hai
Alok Nath
Duniya mein aaisa mujrim koi pehda nahi hua ... jiska anth kanoon ne na likha ho
Shashi Kapoor
Is shehar ki kisi bhi adalat mein woh typing machine nahi hai ... joh warrant par Baba ka naam type kar sake
Mohan Joshi
Yeh joh kanoon ke aankh par kaali patti bandi hai ... woh sirf hamare aankhon ko hi andha nahi karti ... usne hamare dilon par bhi patthar rakh diya hai
Sushmita Sen
Gunahghar us waqt tak mashoor rehta hai jab tak police dheel deti hai ... lekin jab police kanoon ki rassi kheenchti hai toh bade bade mujrimon ke gale mein phasi ka phanda hota hai
Jeetendra
Kanoon tere haathon ka khilona hai ... khoon karna tera pesha hai ... gharon ko barbaad karna tera karam hai ... duniya mein makkari phailana tera dharam hai ... tu laathi se nahi goliyon ke dum par is duniya mein jee raha hai
Ek mujrim kanoon se bhaag sakta hai ... lekin doosre mujrim se nahi
Shakti Kapoor
Humse zabaan ladata hai, hum hi ko kanoon sikhata hai ... chal issi baat par nikaal paise, bachkar jayega kaise ... chal ho ja mushtaid nahi toh aath din ki qaid
Tiku Talsania
Kanoon aur kanoon ke rakhwaalon ko saboot ki zaroorat us waqt tak padti hai, jab tak woh kanoon ki hadhon mein rehte hai ... lekin jis waqt woh kanoon ki hifazat ke liye un hadhon se bahar nikal jaate hai, toh phir saboot ki nahi ... goliyon ki zaroorat padti hai
Shammi Kapoor
Gita desh ka samvidhaan hai, woh uska kanoon hai
Amitabh Bachchan
Dil kanoon ko nahi maanta ... kisi kanoon ko nahi maanta
Prithviraj Kapoor
Justice has been denied ... you can live with it, I will not
Rani Mukherjee
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory