Kanoon jurm ko dekhta hai, insaan ko nahi dekhta ... uske samne raja aur runk, ameer aur gareeb, maalik aur ghulam ... sab barabar hai
Rajesh Khanna
Kanoon par kabza hamesha amir ka hi raha hai ... woh hamesha amir ke haath ki laathi bana hai ... toh gareeb ke haath ki hathkadi
Vinod Khanna
Main aapke ek ek paap, ek ek jurm ka pata lagaonga ... aur jab tak police aapko adalat nahi le jaati aur adalat aapko jail nahi bhejti ... main likhunga, main chaapunga
Anil Kapoor
Yeh desh hai toh samvidhaan hai ... desh nahi toh uske samvidhaan, uske kanoon ka koi wajood nahi
Om Puri
Har khooni khoon karne ke baad yahi kehta hai ki usne khoon nahi kiya
Unknown
Tum mujhe giraftar toh kar sakte ho magar sazaa nahi de sakte ... jis din maine tujhe giraftar kar liya na ... us din kanoon bhi mera hoga aur sazaa bhi meri
Danny Denzongpa
Aaj main tujhe kisi adaalat mein pesh karne ke liye giraftar nahi karoonga ... aaj main tujhe uss upar waale ki adaalat mein pahunchaonga jahan tujh jaise haraamzadon ka faisla ... bagair behas ke hota hai
Idhar vakil, kanoon, sab main hoon ... main
Judge sahab, maine khoon nahi kiya hai
Justice can be delayed but not denied
Sharman Joshi
In sarmayedaron ne kanoon ki haisiyat us andhe bikhari ki tarah bana di hai ... jisse apna pet bharne ke liye saboot ki rotiyan chahiye ... phir kyun na woh paap ke aate se bani ho aur gunaah ki bhatti mein pakki ho
Agar kisi ko jaan se maar dena kanoonan jurm hai ... toh kisi ke charitra ki hatya karna bhi ek sangeen jurm se kam nahi
Anupam Kher
Vakil do tarah ke hote hai ... ek woh joh kanoon janta hai ... aur doosra joh judge ko janta hai
Puneet Issar
Gunehghar aur mujrim ka rishta ya kanoon se hota hai ... ya phir bandook ki goli se
Sanjay Dutt
SP ho ya DSP, collector ho ya commissioner ... kanoon ki sari hastiyan mere aangan mein palti hai aur is chhat ke neeche un tamaam logon ki taqdeerein likhi jaati hai
Prem Chopra
Deva ki adalat mein sazaa jitni der se milti hai ... maut utni hi dardnak hoti hai
Mithun Chakraborty
Ab na woh zalim rahenge na zulm rahega ... na kanoon se khilwar karne waale woh gaddar rahenge ... ab sirf kanoon rahega
Dharmendra
Tera aakhri faisla meri adalat mein hone waala hai ... jahan ka vakil bhi main hoon, gawah bhi, judge bhi ... aur tujhe phasi dene waala jallad bhi
Ajay Devgan
Kanoon banane se pehle kanoon todne waale paida ho gaye the
Ranjeet
Kanoon ki hifazat karte karte, aap khud ek gunahgaar ban gaye
Shekhar Suman
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory