Awaargi ke bhi apne alag maze hai ... ek hi raaste se kahi baar gusro toh aksar bahut si nayi baatein nazar aati hai ... joh shayad pehli baar mein hi dikh jaani chahiye thi ... ya shayad kabhi bhi nahi dikhni chahiye thi
Unknown
Joh sacha pyar karte hai woh zindagi bhar ke liye naraaz nahi hote ... kuch derr ke liye rooth jaate hai
Paresh Rawal
Joh aurat ki hifazat karta hai woh sirf pati ya aashiq nahi hota ... mard ka ek aur roop bhi hota hai ... jisse bhai kehte hai
Kaunsi gutthi hai woh joh humne suljahi nahi ... aaisi fariyaad aaj tak darbar mein aayi nahi
Prithviraj Kapoor
Duniya ke saare kamyaab chor suit boot hi pehente hai ... joh nahi pehente woh pakde jaate hai
Ranbir Kapoor
Achche insaan hamesha achche kaam karte hai
Shahrukh Khan
Kamaan se nikla teer ... aur zabaan se nikli baat kabhi wapas nahi aati
Mithun Chakraborty
Jiske paas power hai ... uska wrong bhi right ho jaata hai
Kota Srinivasa Rao
Bachne waale ko har baar naseeb ki zaroorat padti hai ... aur maarne waale ko sirf ek baar
Raj Babbar
Kisi insaan ka gussa uski umar se bada nahi hota
Anupam Kher
Maa bete ka bhavishya chunti hai, duayen chunti hai ... uske jism ke tukde nahi
Rakhee Gulzar
Tahkhane ke bhaari darwaaze talwaron se nahi taqdeeron se khula karte hai
Bhagwan do hi baar haste hai ... pehli baar tab jab duniya kisiko aabad karna chahe aur bhagwan usse barbad ... aur doosri baar tab jab duniya kisiko barbad karna chahe aur bhagwan usse aabad
Himesh Reshammiya
Insaan ko dil de, jism de, dimaag de lekin yeh kambakht pet mat de ... usse pet deta hai toh usse bhook mat de ... usse bhook deta hai toh do waqt ki roti ka intezam karke bhej ... varna tujhe insaan ko paida karne ka koi haq nahi hai
Rajesh Khanna
Har paida hone waale ko marte waqt kafan pehenna padta hai ... vaise hi har kaale dhande karne waale ko hathkadi pehenni padti hai
Rajinikanth
Mohabbat karne waala door ho jaye ... toh nafrat se hi mohabbat karni padti hai
Archana Puran Singh
Har cheez ka first time hota hai
Randeep Hooda
Hum naye rishte banane ke liye ... purane rishton ko nahi todh dete
Mahima Chaudhry
Ek baar insaan pehda ho jaaye, uski umar sirf ghatti hai ... badhti nahi
Amitabh Bachchan
Main yeh nahi janta ki yeh kahan likha hai ... ki ek aurat mard se zyada pyar de sakti hai
Aamir Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory