Yaadein dil mein rehti hai ... deewaron mein nahi
Revathi
Hum yahan se door aur kahin upar behte hue taqdeer ke likhne waale ko nahi maante ... hum uska likhne waala kalam todh bhi sakte hai ... aur kalam se likhi hui taqdeer badal bhi sakte hai
Shatrughan Sinha
Likhne waalon ke kalam toot gaye lekin meri kahaniyan phir bhi poori na ho saki
Joh paa lene ko pyar kehta hai ... usse hazaron lakhon janam lene padenge pyar ka matlab samajhne ke liye
Asha Parekh
Insaan par duniya pehre laga sakti hai ... magar pyar par nahi
Joh kabhi nahi hota ... wohi ek din zaroor hota hai
Amrish Puri
Agar kisi ki beti ki izzat ek baar lut jaye ... toh duniya ki sari daulat usse vapas nahi la sakti
Vinod Khanna
Koi aurat hokar bhi bandook utha leti hai ... aur koi mard hokar bhi chudiyan pehen leta hai
Aruna Irani
Kya yeh theek hai ki paramparaen banane waala insaan hi paramparaon ki bali chadta rahe ... paramparaen jeeye insaan marta rahe ... paramparaen badi zindagi kuch bhi nahi hai?
Amitabh Bachchan
Chor ki kasam aur jhoote ke waade ka koi aitbaar nahi hota
Shafi Inamdar
Nadaani ka doosra naam nakaami hai
Achchai aur burai matlabi hoti hai ... matlab nikal gaya, toh aadmi achcha lagta hai ... aur agar matlab na nikla, toh wohi aadmi bura
Unknown
Koi itna door bhi nahi jaana chahiye ... ki wapasi ka raasta bhool jao
Kachche faisle karne waale darr ke gharondo mein chup jaate hai
Farha Naaz
Rishta koi paisa nahi hota ... joh haath se nikal jaye toh sambandh toot jaye
Aankh se kajal wohi nikaal sakta hai ... joh aankhon mein basa ho
Aasoon gareeb ki dil ki tijori se nikalne waale keemti moti hote hai
Paresh Rawal
Ek aurat ko janam se lekar maut tak doosron ke faislon pe jeena padta hai
Kambakht dil nahi badalta ... magar dil ke tukde badal jaate hai
Usse giraftar mat karna, uspar muqadma mat chalana, usse phansi ki sazaa mat dena ... kuch bhi ho jaye usse zinda mat chhodna
Preeti Jhangiani
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory