Filmy Quotes

Drama
Drama

(Page 165 of 176)
# 3281

Toote hue rishtey aur toote hue dhaage ko jaldi ma jodne ki koshish nahi karni chahiye ... gaanth padh jaye toh umar bhar chubti rehti hai


You should not try to quickly connect broken relationships and broken threads ... if a knot gets formed then it hurts for the entire life

# 3282

Main toh bhagwan jaisa pati pana chahti hoon ... jisko pyar kar sakoon, jiski seva kar sakoon ... jisko main insaan ke roop mein pa sakoon


I want a husband like god ... whom I can love, whom I can serve ... whom I can achieve in the form of a human

# 3283

Yeh woh rasta hai jiske dayen, bayen aur peeche maut ki gehri khai hai


This is that path which has a deep drop on its right side, left side and behind

# 3284

Joh maachis teeli ki aag mein haath jala behette hai ... unhe suraj ki aag se hookah nahi sulghana chahiye


The people who burn their hand in the fire of a matchstick ... they should not smoke the hookah from the fire of the sun

# 3285

Haisiyat shakhsiyat se banti hai


Status is made from personality

# 3286

Yeh pao kilo ka bheja bhi ajeeb cheez hai ... theek ho tab bhi takleef deta hai ... aur agar na theek ho, tab toh aur bhi takleef deta hai


This quarter kilo brain is a strange thing ... it gives us problems when it's ok ... and if it's not ok, then it gives us much more problems

# 3287

Duniya mein kuch kaam aaise hote hai jinhe karne ke liye bhagwan insaan banata hai ... aur woh insaan utne hi bade hote hai, jitna bada bhagwan khud hota hai


There are some tasks in the world to accomplish which, god creates a person ... and those people are as big as god

# 3288

Zindagi mein Allah aur maa ke baad is roti ko izzat di hai ... isse main zameen par girakar beizzat nahi hone doonga


In life after god and my mother, I've respected food ... and I won't disrespect it by dropping it on the ground

# 3289

Bikke huye logon ki zindagi aur maut ... khareedne waalon ke haathon mein hoti hai


The life and death of the people who are sold ... is in the hands of the people who buy them

# 3290

Hamare khoon ka katra katra aapke namak ka ehsaanmand hai


Every drop of my blood is indebted to your work

# 3291

Darr wahan hota hai jahan shaq hota hai


There is fear where you have a doubt

# 3292

Zindagi ek taraf se khali kar deti hai ... toh doosri taraf se bhar bhi toh deti hai


Life makes us empty from one side ... but then it also fills us up from the other side

# 3293

Akarshan ki koi seema nahi hoti ... khud banani padti hai


Attraction has no boundaries ... you yourself have to make them

# 3294

Main tumhari parchai nahi ke halaat ke andhere mein tumhe chhodkar ... roshni dhoondti hui kahin aur chali jaon


I am not your shadow who will leave you in the darkness of circumstances ... to search for light somewhere else

# 3295

Zindagi ki kuch baatein itni khoobsurat hoti hai ... joh waqt se pehle nahi batayi ja sakti hai


Some things in life are so beautiful that ... they cannot be said before the time comes

# 3296

Kal ki vaishya aaj kisi shareef ghar ki bahu nahi ban sakti


The one who was a prostitute until yesterday, today she can't become a daughter-in-law of a honourable house

# 3297

Kisi mazloom aurat ki izzat bachane ke liye main apni jaan de bhi sakta hoon ... aur kisi ki jaan le bhi sakta hoon


I can give my life to save the honour of a victimized woman ... and I can even take the life of someone

# 3298

Jis ghar ka jawaan beta aadhi raat tak bahar rahe ... us ghar ke bade buzurgon ki aankhen bhi bahar hi rehti hai


The house in which the young children stay out till late in the night ... the eyes of the elders of that house, keep looking outside

# 3299

Poochte raho aur jagaye rakho mujhe din raat ... hazar saal tak main bookha pyasa rahoonga ... aur phir bhi main yahi kahoonga ki main begunah hoon


Keep asking me and keep me awake day and night ... I'll stay hungry and thirsty for a 1000 years ... and still I'll keep saying that I'm innocent

# 3300

Duniya mein kisi ko gaali dena shayad paap na hoga ... lekin gareeb ko baar baar gareeb aur mohtaj ko baar baar mohtaj kehne se bada kukarma aur koi nahi hai


It might not be a sin to curse someone in this world ... but there is no bigger sin that repetitively calling a poor person poor and a dependent person dependent

Recently Added

Box Office Winners


Movies Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ#

Stars Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ

Copyright © FilmyQuotes.com