Filmy Quotes

Drama
Drama

(Page 128 of 176)
# 2541

Pati ke liye patni punya ka saathi hoti hai


A wife is a companion of virtue for a husband

# 2542

Jiski nazar kamzor hoti hai ... uska zor kam hota hai


Those who have poor eyesight ... they have less power

# 2543

Agar koi gareeb ladki apni izzat bechna na chahe ... toh duniya ka koi bhi amir uski izzat khareed nahi sakta


If a poor girl doesn't want to sell her dignity ... then no rich man in this world can buy her dignity

# 2544

Bachpan ki buri aadatein aur buri baatein insaan ko bura bana deti hai


The bad habits and bad things of childhood make a person into a bad one

# 2545

Insaan ke bheetar se shaitan janam leta hai ... wafaadar ke khoon se baaghi pehda hota hai


A demon rises from within the human itself ... and a rebel rises from within the faithful

# 2546

Zindagi mein kabhi na kabhi toh samjauta karna hi padhta hai


In life at some point or the other one has to compromise

# 2547

Ek mujrim ka waqt achcha ho sakta hai ... lekin uska anth nahi


A criminal can have good moments ... but not a good end

# 2548

Choro se maal bachane ke liye dukaan ko taala lagaya ja sakta hai ... lekin dokhebaazo se bachna bahut hi mushkil hai


To protect merchandise from the theives you can lock a shop ... but it is very hard to protect from cheaters

# 2549

Maalik ke ghar pe andhera karke ... kabhi kisi mazdoor ke ghar mein roshni nahi aa sakti


By darkening the employers house ... no laborer can ever get light in his house

# 2550

Tere farz ne hum mein hazaar janam ke liye tera karzdaar bana diya


Your duty has made us your debtor for a thousand lives

# 2551

Hamare desh ki mitti apne beto ko sirf ek hi baat sikhati hai ... maa ki puja, maa ki seva, maa ki raksha


The soil of our country teaches its sons only one thing ... worship your mother, serve your mother, protect your mother

# 2552

Adaalat shaq par nahi ... yakeen ki buniyaad par faisla karti hai


The court does not make its decision on suspicions ... it does on the basis of proof

# 2553

Joh log paisa kamakar apna imaan gavah dete hai ... woh daulat hote hue bhi fakiron se battar hai


People who lose their honesty when they make money ... they are worse than the poor even with the money

# 2554

Buzurgo ka aashirwad hi duniya ki sabse badi daulat hai


The blessings of elders is the biggest wealth in the world

# 2555

Baap ka joota agar bachche ke paon mein aa jaye ... toh phir woh bachcha nahi reh jata


If the fathers shoes fit into the sons feet ... then he is not a kid anymore

# 2556

Shareer jitna thanda hoga, jalne mein utna hi anand aayega


The colder the body is, the more delightful it will be when it burns

# 2557

Tum insaan nahin balki ek chalti phirti tijori ho ... tumhare seene mein dil ki jagah noton ka bundle rakha hua hai


You are a moving vault not a human being ... there is a stack of money instead of a heart in your chest

# 2558

Darna meri fitrat nahin


It is not my nature to get scared

# 2559

Budh, Ashok aur Gandhi ke is desh mein rehne waale hum log ... ahinsa ke pujari zaroor hain ... magar buzdil nahin


We the people living in the country of Budh, Ashok and Gandhi ... are definitely preachers of non-violence ... but we are not cowards

# 2560

Bandook ki nali se kabhi koi solution nahi milta


A solution is never found from a guns barrel

Recently Added

Box Office Winners


Movies Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ#

Stars Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ

Copyright © FilmyQuotes.com