Zevar utaarkar phir se pehne ja sakte hai ... lekin ghar ki izzat woh zevar hai joh ek baar utar gayi toh phir nahi pehni ja sakti
Shammi Kapoor
Machhar agar neend mein bhi hamara khoon choosta hai ... toh hum usse maar dete hai ... magar yeh gunde hamare jaagte huye hamara khoon bahate hai ... aur hum kuch nahi karte
Sunil Shetty
Likhna padhna toh school mein sikhaya jaata hai ... lekin insaaniyat school mein nahi, sanskaron se aati hai
Sulochana Latkar
Gareeb ka muqaddar us par reham karne se nahi ... balki us mein zimmedari pehda karne se badla jaata hai
Amrish Puri
Main toh samajhta tha ki insaan ka muqadar aasman pe behta bhagwan likhta hai ... lekin mera muqadar toh likha hai aapne woh bhi kaali syahi se nahi ... lal khoon se
Paheliyon ke jawab aksar kisi agle pichle panne par likhe hote hai ... zara dhyan se dekho toh mil hi jaate hai
Himani Shivpuri
Chinta mat karo ... chinta karna bhagwan ka bharosa khona hai
David Abraham
Jao jake film industry se poocho ki woh hum mein dhoondne mein itne late kyun ho gaye ... jao jake duniya waalon se poocho ki woh hamari awaaz sunane mein itne late kyun ho gaye ... jao jake sapno se poocho ki woh sach hone mein itne late kyun ho gaye
Dhanush
Kambakht yeh neend ki goli sula toh deti hai ... lekin lori nahi sunati
Nana Patekar
Aaj tak main soochti rahi ki aap mujhe bahut pyar karte hai ... meri khushi ke liye aap apni khushiyo ka gala ghoont sakte hai ... lekin aaj mujhe pata chala ki aap apni khushi ke liye mera bhi gala ghoont sakte hai
Pooja Bhatt
Zameer aur pet ki ladai mein, zameer sirf kitaabon mein jeetta hai ... haqeeqat mein jeet pet ki hoti hai
Kumar Gaurav
Main goli aur boli dono zubaane jaanta hoon
Sunny Deol
Yahan suraj hamari aagya lekar nikalta hai aur chand hamare ishare se doobta hai ... hamare liye aane waale kal aur guzar jaane waale kal mein koi fark nahi ... dono hi hamare ghulam hai
Pran
Parampara ko na koi talwar kaat sakti hai, na koi aag jala sakti aur na waqt badal sakta hai
Sunil Dutt
Izzat banane ke liye poori zindagi lag jaati hai ... lekin usse barbaad karne ke liye sirf ek bhool ki zaroorat hoti hai
Divya Dutta
Maarne waale sochte nahi aur sochne waale maarte nahi
Mithun Chakraborty
Joh ho gaya, woh kabhi nahi hua ... joh kabhi nahi hua, woh ab hoga
Amitabh Bachchan
Kuch log mar marke jeete hai aur kuch log maarke
Mohanlal
Tumne ek hi raat mein ek awara ladki ki tarah ... apne khandan ki izzat, gairat, sharm aur sharafat ko havas ki chakki mein pees dala
Anupam Kher
Vidhata ne jab jeevan aur mrityu ke daurahe par doobara lakar khada kar diya hai ... toh is khel ko jeevan ki baazi lagakar hi khatam karoonga
Dharmendra
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory