Kanoon jurm ko dekhta hai, insaan ko nahi dekhta ... uske samne raja aur runk, ameer aur gareeb, maalik aur ghulam ... sab barabar hai
Rajesh Khanna
Jurm ki chataan ko kranti ki lehren takra takrakar todh deti hai
Alok Nath
Main aapke ek ek paap, ek ek jurm ka pata lagaonga ... aur jab tak police aapko adalat nahi le jaati aur adalat aapko jail nahi bhejti ... main likhunga, main chaapunga
Anil Kapoor
Agar jurm ko khatam karna hai toh mujrim ko berahami se foran khatam kar dena chahiye ... I believe in bullet for bullet
Amrish Puri
Chori joh hai na woh peeche se ki jaave hai ... aur haath ki safai joh hai woh samne se
Chitrashi Rawat
Aaj ke zamaane mein sharif hona bahut bada gunaah hai
Annu Kapoor
Zindagi mein galati aur gunaah, har ek se hota hai ... magar gunaah karne ke baad usse chupana, usse bhi bada gunaah hai
Mohan Joshi
Jurm hi uska pesha hai ... aur daulat uska dharm
Sunil Shetty
Ab yeh haath chori ke maal ka bhoj nahin ... balki hathkari ka bhoj uthayenge
Jeetendra
Gunaah ke keechad mein begunaahi ke kamal kabhi nahi khil sakte
Sunny Deol
Agar main chor hoon toh mujhse chori karane waale tum ho ... aur agar main mujrim hoon toh mujhse jurm karane waale bhi tum ho
Dilip Kumar
Behind every fortune there is a crime
Karan Singh Grover
Sher ke mooh ko jab insaan ka khoon lag jaata hai ... tab usse kisi aur janwar ke shikaar mein mazaa hi nahi aata hai ... issi tarah ek baar jurm ki kamai khoon mein utar jaaye ... toh halaal ki kamai khane mein mazaa hi nahi aata hai
In sarmayedaron ne kanoon ki haisiyat us andhe bikhari ki tarah bana di hai ... jisse apna pet bharne ke liye saboot ki rotiyan chahiye ... phir kyun na woh paap ke aate se bani ho aur gunaah ki bhatti mein pakki ho
Vinod Khanna
Agar kisi ko jaan se maar dena kanoonan jurm hai ... toh kisi ke charitra ki hatya karna bhi ek sangeen jurm se kam nahi
Anupam Kher
Insaan aaise gunaah zindagi mein sirf do hi baar karta hai ... ek ya toh sar pe kisi ka udhaar ho aur doosra jab dil mein kisi ka pyar ho
Paresh Rawal
Akad bakad bambay bo, assi nabbe jaane do, nabbe baad kiya tha joh, gunah hua ab sazaa lo ... akad bakad bambay bo, sazaa hui ab gunah lo
Imran Khan
Is desh mein sabse bada gunaah, sabse bada apradh ... gareebi hai
Amitabh Bachchan
Duniya mein koi bhi gunaah itna bada nahi hota ki shama ke layak na ho ... aur na hi koi gunaah itna chota hai, ki usse nazarandaz kiya jaye
Bipasha Basu
Mera farz sirf gunahgaron ko rokne ka nahin ... balki gunah rokne ka bhi hai
Suresh Oberoi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory