In sarmayedaron ne kanoon ki haisiyat us andhe bikhari ki tarah bana di hai ... jisse apna pet bharne ke liye saboot ki rotiyan chahiye ... phir kyun na woh paap ke aate se bani ho aur gunaah ki bhatti mein pakki ho
Vinod Khanna
Agar kisi ko jaan se maar dena kanoonan jurm hai ... toh kisi ke charitra ki hatya karna bhi ek sangeen jurm se kam nahi
Anupam Kher
Tumhare raj mein toh zulm ke khilaaf awaaz uthana bhi jurm hai
Amitabh Bachchan
Crime ke saath kabaddi khelne jaise hai ... jitna enjoy karogi utna khelogi ... lekin kabaddi ke is khel mein koi na koi toh samne se dum zaroor todhega
Neil Nitin Mukesh
Har daulat ke peeche ek jurm hota hai
Ranjeet
Insaan aaise gunaah zindagi mein sirf do hi baar karta hai ... ek ya toh sar pe kisi ka udhaar ho aur doosra jab dil mein kisi ka pyar ho
Paresh Rawal
Tu aaisa khatarnak keeda hai joh aurat ki kismat khata hai ... tumhe maarna toh gunah nahi sawab hoga
Jaya Bhaduri Bachchan
Akad bakad bambay bo, assi nabbe jaane do, nabbe baad kiya tha joh, gunah hua ab sazaa lo ... akad bakad bambay bo, sazaa hui ab gunah lo
Imran Khan
Kanoon ke samne jhoot bolna bhi bahut bada apradh hai
Annu Kapoor
Jis jurm par mera naam likha jayega uspar tumhara naam pehle se likha hoga ... aur jis gali mein main kutte ki maut maara jaonga ... us gali mein ek bahut bada kutta pehle se mara pada hoga
Dharmendra
Jab koi apradh vichar kiye bina kiya jaata hai ... usse bhool kehte hai ... lekin vichar ke saath kiya hua apradh ... nishchit apradh hi kehlata hai
Dilip Kumar
Chote mote gunaah karoge toh aaise hi kanoon se darte rahoge ... bade gunaah karoge toh bade bade logon ke saath naam judh jayega, TV par interview honge aur badi badi magazino ke cover page par aaoge ... press tumhe hero bana degi
Amrish Puri
America ki police ko khoon hone ke do ghante ke paschat pata chalta hai ... aur Roos ki police ko sadhe-teen ke paschat ... aur Cheen ki police ko che ghante ke pashcat ... magar hamari police ko khoon hone ke chaubees ghante pehle pata hota hai ki ... kab, kahan, kis vyakti ka khoon hone waala hai ... aur kaunsa manushya is shubh kaarya ko sampan karne waala hai
Unknown
Main aapke ek ek paap, ek ek jurm ka pata lagaonga ... aur jab tak police aapko adalat nahi le jaati aur adalat aapko jail nahi bhejti ... main likhunga, main chaapunga
Anil Kapoor
Crime ki duniya mein ek baar entry lene ke baad ... dobara ruksat hona namumkin hai
Tom Alter
Ab yeh haath chori ke maal ka bhoj nahin ... balki hathkari ka bhoj uthayenge
Jeetendra
Jahan bhi corruption aur crime ho na ... aisi kaali duniya ko light-up karne ke liye joh 10,000 watt ka LED bulb pehda hota hai na ... usse kehte hai hum hero ... insaaf-man
Gareebi se sharmana, usse nafrat karna ... sabse bada apradh hai
Sulochana Latkar
Crime mein personal touch aa jaye na ... crime passionate ho jaata hai
Chori toh bahut hoti hai ... lekin joh pakda jaata hai na chor wohi hota hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory