Akal shakal ke chakkar mein, jurm na ho sangeen ... hum toh mast vanar hai, kabhi na ho gangeen
Govinda
Jurm ki duniya mein waqt aur mauke ke hisaab se chalna padta hai
Deepak Shirke
Sach ko chupana ek bahut bada jurm hai ... duniya ka koi logic, insaan ka koi jazba is jurm ko justify nahi karta
Raza Murad
Mera farz sirf gunahgaron ko rokne ka nahin ... balki gunah rokne ka bhi hai
Suresh Oberoi
Gundagiri ko khatam karne ke liye ... mujhe gunda banna padega
Mithun Chakraborty
Bimari aur jurm ... chupane se dono badte hai
Sunny Deol
Jurm ki zindagi ek aaisa dhagaa hai ... jis mein agar ek baar aadmi uljha toh bas ulajhta hi jaata hai
Abhinav Chaturvedi
Aaj agar samaaj se apradh ko khatam karna hai toh usse jadh se mitana hoga ... us pedh ko hi kaatna hoga jispar apradh ke phal pehda hote hai ... aur woh pedh tu hai
Rekha
Apradh agar pataal ke andheron mein bhi chup jaye ... toh bhi sazaa peecha karte hue wahan pahunch jaati hai
Amitabh Bachchan
Bade logon ke haath nahi alfaaz istamal hote hai ... jinke ishaare par chote log choriyan karte hai
Aaj jurm ko nahi roka gaya toh kal bilkul nahi rukne payega ... agar abhi nahi pakde toh phir pakadna mushkil ho jayega
Kader Khan
Jurm karne waale saanp mujhe nevala kehte hai ... aur saanp ki khushboo mujhe bahut door se aa jaati hai
Gulshan Grover
Is duniya mein sabse taqatwar bhagwan paisa hai paisa ... chahe jitna bada gunaah karlo, jurm karlo ... noton ki chaddar mein sab kuch dhak jaata hai
Shafi Inamdar
Mujhe gunaah aur gunehgaar dono se sakht nafrat hai
Vishwasghaat sabse bada gunaah hota hai ... ek aaisa gunaah joh maafi ke layak nahi
Anupam Kher
Main tumhe us darje ka gunahgar maanta hoon ... ki ek hi jagah rehkar, ek hi waqt tum dus gunah kar sakte ho
Prem Chopra
Zamane ki nazarein hai mere gunahon par ... kisi ko apna chehra bhi dikhai deta hai, nahi ... tum jahan hote ho wahan hote hai khoon aur laash ke saude ... phir bhi vardi par daag dikhai deta hai, nahi
Tumhari zindagi chaku ke dhaar se khelti hai ... aur tumhare pankh gundagardi ke dal-dal mein dhasse hai ... jitna nikalne ki koshish karoge, utna hi dhasste jaoge
Shashikala
Woh mohabbat jispar qazi ki mohar na ho ... gunah kehlati hai
Pooja Batra
Jail mein gandagi dhoi nahi jaati ... gunah, gussa, tadap, dard in ragon mein baar baar duboya jaata hai ... saalon saal jab tak insaaniyat ka rang hamesha ke liye utar na jaye ... bas ek rang bachta hai, nafrat ka rang
Imran Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory