Ek khatmal poori raat ko apahij kar deta hai
Destiny bahut beraham hoti hai ... yeh apne doston se mooh pherne par aur dushmanon se baat karne par majboor kar deti hai
Pandra sau ki naukri karne waala ... ek din tujhe dedh sau ka kafan pehnayega
Hum bhale hi upar waale ko alag alag naam se pukarte hai ... lekin hamara dharam ek hai mazhab ek hai ... insaniyat
Hum sab system ka hissa hai ... system decide karta hai, apun follow karta hai
Sache police ki ya toh maut hoti hai ... ya toh suspend kiya jaata hai
Raajneeti mein hamesha jeet ko maan milta hai
Upar waale ne insaan ke shareer mein nau chhed kiye hai ... do kaan ke, do naak ke, do aankh ke, ek mooh ka ... baki ke do tu jaanta hai ... sapne mein bhi galat socha na, dusva chhed kar doonga
Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho ... yeh joh tumhara roop hai, yeh zindagi ki dhoop hai ... chandan se tarsha hai badan, behti hai jis mein ek agan ... yeh shokhiyan, yeh mastiyan, tumko hawaon se mili, zulfein ghataon se mili ... hooton mein kaliyan khil gayi, aankhon ko jheele mil gayi ... chehre mein simti chandni, awaaz mein hai ragini ... sheeshe ke jaisa ang hai, phoolon ke jaisa rang hai, nadiyon ke jaisi chaal hai, kya husn hai, kya haal hai ... yeh jism ki rangeeniyan, jaise hazaaron titliyan, baahon ki yeh golaiyan, aanchal mein yeh parchaiyan ... yeh nagriyan hai khwaab ki, kaise bataon main tumhe haalat dil-e-betaab ki ... kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho
Apne saath kaam karna hai toh usse imtihaan mein toh bethna hi padega
Bhai mat bol ... emotional ho jaata hoon main
Yeh mera pasina nahi mera khoon hai joh pani bankar behta hai mere badan se
Duniya mein do hi cheezon ki keemat hai ... ek zameeno ki, doosri kameeno ki
Yeh Delhi bas mooh hai is liye batar-batar karti rehti hai ... yeh karna hai, yeh hona chahiye, hum mein dikhana hai ... bas dil ko tasalli dene ke liye achcha lafz hai Delhi
Biwi bhi ek ajeeb tarah ki pehli hai ... saal bhar miya ko pareshan karke jeene nahi deti ... aur Karva Chauth ka vrat rakh ke marne nahi deti
Ghar mein hai bas chhe hi log ... chaar deewarein, chatt aur main ... raat sahuli ek saheli, gora chitta din hai dost ... ghar mein hai bas chhe hi log ... tehelne nikle tanha parchai, main bhi uske peeche chaloon ... neele ambar ke kagaz par panchi hokar chitra banoon ... indradhanush ki tirchi daali par chipki geeli geeli aus ... ghar mein hai bas chhe hi log ... chaar deewarein, chatt aur main
Tumhare napaak kadam aage mat badaoo ... todhkar tumhare gaale mein pehna denge
Behetar hai tu apna iraada badal de ... nahin toh main tera naksha badal doonga
Maut se badkar koi dost nahi hai ... hamesha mere saath chalti hai
Chal lekar apni naav chale, chandan chandani ke gaon chale ... indradhanush ki behti dhara, uske paar teesra kinara ... is safar mein aur koi nahi, yeh safar hai bas mera tumhara ... ab kis dastak ka hai intezar, jab tumhe pukarta ho pyar aur samne ho sapnon ka sansar ... chal lekar sapnon ki naav chale, chandan chandani ke gaon chale
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory