Daulat waalon se kabhi dil lagana nahi chahiye ... woh kapde aur gadiyon ki tarah dil bhi badalte rehte hai
Main tumhe Kashmir se baghakar, Jammu mein girakar, Delhi mein uthakar, Bhopal mein ghumakar, Madras mein nachakar, Kanyakumari mein thokar maarkar ... Lanka ke samundar mein phek doonga
Maa bhi bhagwan ne duniya mein ek nirali hi cheez banayi hai ... janam dene se lekar bete ki aakhri saans tak, har gadhi yeh hi kehti hai ... "jug jug jiyo beta, jug jug jiyo"
Main daulat ke maidaan mein gareeb zaroor hoon ... lekin imaandari aur sharafat ke maindaan mein bahut zyada amir hoon
Nau mahine pet mein rakhne se koi aurat maa nahi ban jaati ... kya tumne ek maa ki tarah kabhi isse apna doodh pilaya, kabhi apni baahon mein jhulaya, kabhi seene se lagakar pyar kiya ... nahi ... jab tumne maa ka kartavya nahi nibhaya toh tum mein maa kehlane ka koi adhikar nahi
Kagaz phadne se likhai mitt sakti hai lekin sachai nahi
Do akele mil gaye toh ek sansar ban jayega
Swatantra Bharat ka nagrik hoon, krantiveer hoon, tanashahi ke liye talwar hoon, yam lok mazdooron ka sardar hoon
Jisse barfo mein ice-cream khane ka shauk ho ... usse sardi nahi lagti
Tum insaan nahin balki ek chalti phirti tijori ho ... tumhare seene mein dil ki jagah noton ka bundle rakha hua hai
Bachpan mein baap ke kahe huye kadve shabd ... aane waali zindagi mein shakkar ghol dete hai
Do mithiyan galaan kar kudiye haske sadde naal ... arre saath khade hum dono lagte hai Sohni Mahiwal
Keechri uttare huye zeharilay saanp ko dekhkar reham khana ... aur paschatap ka dhong rachane waale zalim ko maaf karna jurm hai
Main jis file ko kholta hoon na ... woh mujrim ko jail mein bandh karne ke baad hi bandh karta hoon
Duniya mein jis insaan ka zameer zinda hai ... woh maut bardasht kar lega lekin apni beizzati aur apmaan nahi
Jiske dil mein Allah ka noor hota hai ... woh andha hokar bhi sab kuch dekh sakta hai
Aksar desi aankhon par videshi chasma lagane se ... dimaag mein charbi chad jaati hai
Aashiq ko apni mehbooba ki sab adayein pasand hoti hai ... aur mard ko apni biwi ki saadgi
Sansar ka yeh niyam hai ke paapi kabhi amar nahi hote
Sarakti jaye hai rukh se naqab aashista aahista ... nikalta aa raha hai aftab aahista aahista ... woh bedardi se sar kaate mera aur main kahun huzoor aahista aashita ... ab aa bhi jaiye aashita aahista
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory