Dil mein gandagi lekar paida hone waala insaan ... kabhi amar nahi ho sakta
Tumhare paas na sharm hai na sharmane waala dil hai
Jab tab ungli tedhi na karo, dibbe mein se ghee nahi nikalta ... aur jab tak tedha rasta na pakdo, bhigda hua sahi raste par nahi aata
Koyle ko kitna bhi sabun lagao ... woh kaala ka kaala hi rahega
Ghatiya sawaal poochna bahut aasaan hai ... lekin unka jawaab dena bahut mushkil ... joh tum jaisa ghatiya aadmi bhi nahi de sakta
Bhookha rehkar aadmi ek baar marta hai ... lekin udhaar ki roti khakar baar baar marta hai ... hazaar baar marta hai
Bhagwan sab kuch maaf kar sakta hai ... lekin ghamand maaf nahi kar sakta
Yeh botal hai na botal ... yeh duniya ki har sundar ladki se zyada khoobsurat hai ... poocho kyun ... kyun ki yeh dhoka nahi deti, chaalbaazi nahi karti
Duniya mein sirf ek hi sambandh hai ... pati patni ka sambandh, joh jeete jee toot nahi sakta ... baki saare rishtey toh aasmaan mein badalon ki tarah hote hai ... joh hawa ek jhaunke se toot jaate hai
Kisi ka ehsaan bhi tabhi lena chahiye ... jab usse utaarne ki khud mein taqat ho
No Bond, no three-knot-three (303) ... chuttiyon mein bilkul free
Aapke chehre ko dekhne ke baad aate hue idea vapas chale jaate hai
Jis tarah vidhata ka likha taqdeer koi nahi badal sakta ... us hi tarah suhagan ka mangalsutra bhi koi nahi todh sakta
Jiske dil mein aag lagi hoti hai ... uski insaaniyat bhi ussi aag mein jalkar khaak ho jaati hai
Havas ek aaisi aag hai joh bujhane se aur badhakti hai ... aur anjaam yeh hota hai ki aag bujhti nahi hai ... magar bujhane waala jalkar raakh ho jaata hai
Yeh mere do haath jab bhi uthenge pattharon ko tarashne ... yeh goonj har baar milan ka geet bankar sunai degi ... tumhe vishvas dilane ki tum mere paas ho, mere dil mein
Aapke chehre par aaya hua gussa, jaise chand pe chahe huye chote se badal ki tarah ... aapka mann jal ki tarah nirmal ... aapka dil phool ki tarah komal ... aur aapka swabhav "aaahhhh"
Saanp ka zeher sirf uske daanton mein hi nahi ... balke uski phook mein bhi hota hai
Upar wala har kisi ki jodi duniya mein bhejne se pehle bana deta hai ... sirf yeh nahi batata ke kaun, kab, aur kahan milega
Apne aadmiyon se kaho ke bandookein phenk de ... nahi toh goli chalegi Naagraj ... aur teri khopdi mein itna bada suraag ban jayega ... jiske andar naag apna bil banayega
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory