College mein aata hoon lekin lecture mein nahi aata hoon ... six pack mein aata hoon lekin family pack mein nahi aata hoon ... bus mein aata hoon lekin kisi ke bas mein nahi
Pehli line mein panga ... doosri line mein main nanga
Salamat hai har woh bete ka papa ... jiske saath hai Ganpati Bappa
Iski pehli line aafat thi ... lekin last line mein rahat thi
Pehle line mein honesty ... doosre line mein molesty
Jiske saath hai upar wala ... uske saath kabhi kuch wrong nahi hone wala
Main aapko aap kehke bula raha hoon aur aap hai ki seedha tu pe aa gaye ... agar main tu pe aa gaya na toh aapki thu-thu ho jayegi
Aaj ki zindagi mein coolie kaun nahi hai ... har koi toh bhoj uthata hai ... koi ghamon ka, koi karzon ka, toh koi zindagi ka
Acha hai, acha hai ... lekin bina pant ka kachha hai
Ab tu idhar se nikal varna tere naak pe aisa punch maarega na ... ki nagpade mein se Ganga Jamuna behega
Sab badiya hai
I'm highly trained to train those who think that they're trained ... whether they are in front of the train or behind the train ... because I fight off the train, by the train, for the train
Ab zindagi ki cycle pe toh maarna padega pedal ... chahe mile ya na mile medal
Kya gaal hai ... kya baal hai ... yeh toh poori dhamaal hai
Insaan ya toh shaadi-shuda ho sakta hai ya toh khushal ho sakta hai ... dono kabhi nahi ho sakta hai
Duniya ka sabse bada festival pata hai kaunsa hai ... gharwali ... kyun ki usse baar baar manana padta hai
Mogambo toh phir bhi khush ho jaata hai ... lekin yeh biwiyan kabhi khush nahi hoti hai
Yeh paisa joh hota hai na, yeh sabse bada jantunashak hota hai ... saare jivanu, vishanu, kitanu, sabko nasht kar deta hai
Nature ki baatein na Twitter aur Instagram pe badi achi lagti hai ... lekin asli zindagi mein na, ek hi haryali matter karti hai ... hari patti, paisa
Aapko nature nahi Netflix chahiye ... pedh nahi iPad chahiye ... blackbuck nahi Starbucks chahiye ... aapko jungle se zyada Jungle Book pasand hai ... aur tiger se zyada Tiger Shroff ... kyun ki development joh hota hai na ... woh of the youth, by the youth, for the youth
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory